نقش بر آب ہو گیا ہوں میں
Ejaz Rahmani (1936–2019)نقش بر آب ہو گیا ہوں میں
کتنا کم یاب ہو گیا ہوں میں
جھریاں کہہ رہی ہیں چہرے کی
خشک تالاب ہو گیا ہوں میں
کیا کروں گا میں اب خوشی لے کر
غم سے سیراب ہو گیا ہوں میں
یاد رکھتا نہیں مجھے کوئی
عرصۂ خواب ہو گیا ہوں میں
اس قدر بار غم اٹھایا ہے
جھک کے محراب ہو گیا ہوں میں
اک مسیحا کی مہربانی سے
جام زہراب ہو گیا ہوں میں
خشک آنسو ہوئے ہیں جس دن سے
دشت بے آب ہو گیا ہوں میں
ہے یہ احسان جبر دنیا کا
سخت اعصاب ہو گیا ہوں میں
اس نے جس دن سے چھو لیا مجھ کو
رشک مہتاب ہو گیا ہوں میں
خود ہی اعجازؔ اپنا دشمن ہوں
صرف احباب ہو گیا ہوں میں
naqsh-e-bar ab ho gaya hun main
kitna kam yab ho gaya hun main
jhiriyan kah rahi hain chehre ki
khushk talab ho gaya hun main
kya karunga mein ab khushi le kar
gham se sairab ho gaya hun main
yad rakhta nahin mujhe koi
arsa-e-khwab ho gaya hun main
is qadar bar-e-gham uthaya hai
jhuk ke mehrab ho gaya hun main
ik masiha ki mehrbani se
jam-e-zahrab ho gaya hun main
khushk ansu hue hain jis din se
dasht-e-be ab ho gaya hun main
hai ye ehsan jabr duniya ka
sakht aasab ho gaya hun main
us ne jis din se chhu liya mujh ko
rashk-e-mahtab ho gaya hun main
khud hi ejaz apna dushman hun
sirf-e-ahbab ho gaya hun main