آدمی کا وقار علم سے ہے
Ejaz Rahmani (1936–2019)آدمی کا وقار علم سے ہے
زندگی کی بہار علم سے ہے
علم سے بہرہ ور جو ہوتے ہیں
نیکیاں وہ زمیں میں بوتے ہیں
علم ہے روشنی چراغ ہے علم
دل کی دھڑکن ہے اور دماغ ہے علم
ہیں جو علم کتاب سے محروم
ان کو دنیا میں کچھ نہیں معلوم
ان کا جینا بھی ہے کوئی جینا
آنکھ تو ہے مگر ہیں نا بینا
جہل ظلمت ہے روشنی ہے علم
موت اندھیرا ہے زندگی ہے علم
جیسے خوشبو ہر اک گلاب میں ہے
علم بھی بند ہر کتاب میں ہے
یہ کتاب ایسی ایک کھیتی ہے
کچھ نہ کچھ آدمی کو دیتی ہے
علم سے پھول دل کا کھلتا ہے
آگہی کا سراغ ملتا ہے
جانتے ہیں جو پڑھنے والے ہیں
ان کتابوں میں بند اجالے ہیں
دنیا بھر کی زبانیں بولتیں ہیں
ذہن کے در کتاب کھولتی ہیں
جو کتابوں سے دور رہتے ہیں
عمر بھر بے شعور رہتے ہیں
سچ تو یہ ہے کتاب ہے بھائی
سب سے بہتر رفیق تنہائی
میرا اعجازؔ مشورہ ہے یہی
تم بھی جا کر پڑھو کتاب کوئی
admi ka waqar ilm se hai
zindagi ki bahar ilm se hai
ilm se bahra war jo hote hain
nekiyan wo zamin mein bote hain
ilm hai raushni charagh hai ilm
dil ki dharkan hai aur dimagh hai ilm
hain jo ilm-e-kitab se mahrum
un ko duniya mein kuchh nahin maalum
un ka jina bhi hai koi jina
ankh to hai magar hain na bina
jahl zulmat hai raushni hai alam
maut andhera hai zindagi hai alam
jaise khushbu har ik gulab mein hai
ilm bhi band har kitab mein hai
ye kitab aisi ek kheti hai
kuchh na kuchh admi ko deti hai
ilm se phul dil ka khulta hai
agahi ka suragh milta hai
jante hain jo parhne wale hain
in kitabon mein band ujale hain
duniya bhar ki zabanen boltin hain
zehn ke dar-e-kitab kholti hain
jo kitabon se dur rahte hain
umr bhar be shuur rahte hain
sach to ye hai kitab hai bhai
sab se behtar rafiq-e-tanhai
mera ejaz mashwara hai yahi
tum bhi ja kar parho kitab koi