Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Ansari Zafar

b. 1976

Poems

Meter
  1. āp kī mujh pe jab bhī navāzish huīmujh pe sang-e-malāmat kī bārish huī
  2. us se merā to koī dūr kā rishta bhī nahīñaur ye bhī hai ke vo shaḳhs parāyā bhī nahīñ
  3. un kī nazroñ meñ na ban jā.e tamāsha chehrais liye ḍartā hūñ dikhlāne se apnā chehra
  4. tire qarīb rahūñ yā ke maiñ safar meñ rahūñye ārzū hai tire halqa-e-asar meñ rahūñ
  5. jab bhī māzī ke nazāre ko nazar jā.egīshām ashkoñ ke sitāroñ se sañvar jā.egī
  6. hālat-e-bīmār-e-ġham par jis ko hairānī nahīñasl meñ us ādmī meñ ḳhū-e-insānī nahīñ
  7. sir.hāne be basī rotī rahī haishab-e-ġham zindagī rotī rahī hai
  8. ġham itne apne dāman-e-dil se lipaṭ ga.etujh se bichhaṛ ke ham ka.ī qistoñ meñ baṭ ga.e
  9. kabhī kisī ko jo dekhā kisī kī bānhoñ meñtujhī ko yād kiyā dil ne sard āhoñ meñ
  10. mujh ko tā umr taṛapne kī sazā hī denātujh ko manzūr agar ho to bhalā hī denā
  11. mohabbat pe shāyad zavāl ā rahā haike ab zindagī kā savāl ā rahā hai
  12. ye jo terī ānkhoñ meñ ma.anī-e-vafā sā haikāsa-e-tamannā ke harf-e-mudda.ā sā hai
  13. ye dasht-e-shauq kā lambā safar achchhā nahīñ lagtāmagar ṭhahrūñ kahāñ koī shajar achchhā nahīñ lagtā