Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Tabeeb Arvi

Poems

Meter
  1. tumhārī teġh-e-nigāh-e-mojiz numā ne be maut jis ko mārātū pāsbānī meñ is shahīd-e-vafā kī ākar ajal rahī hai
  2. rafta rafta dil par us kāfir kā qabza ho gayādekhte hī dekhte ka.aba kalīsā ho gayā
  3. ziyā-e-husn jānāñ jāguzīñ ma.alūm hotī haibayāz-e-chashm-e-dil arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai
  4. mahfil-e-yār meñ aġhyār rahā karte haiñek ham haiñ ke judā.ī meñ jalā karte haiñ
  5. na ṭhahrā dil mirā ġham khāne vālāgayā duniyā se āḳhir jāne vālā
  6. na dam bāqī hai ānkhoñ meñ na dil meñ jān bāqī haimagar donoñ meñ terī dīd kā armān bāqī hai
  7. vahshī terā tarz-e-junūñ meñ sab se rahā begāna bhīqais se go ulfat bhī rahī farhād se thā yārāna bhī