Poet
Qamar Abbas Qamar
b. 1993
Poems
- اس شہر میں کچھ لوگوں سے پہچان ابھی ہےیعنی کہ مرے ہونے کا امکان ابھی ہےis shahr meñ kuchh logoñ se pahchān abhī haiya.anī ke mire hone kā imkān abhī hai
- دل کو رونے کے لیے آنکھ میں بس پانی ہےعالم ذات میں کیا بے سر و سامانی ہےdil ko rone ke liye ānkh meñ bas pānī haiālam-e-zāt meñ kyā be sar-o-sāmānī hai
- سمندروں کے سفر پر ہیں رہنما بھی نہیںہم ایسے لوگوں کی کشتی کا ناخدا بھی نہیںsamundaroñ ke safar par haiñ rahnumā bhī nahīñham aise logoñ kī kashtī kā nāḳhudā bhī nahīñ
- صبح امید کی اک شمع جلائی گئی تھیاس طرح مملکت جسم بچائی گئی تھیsub.h-e-ummīd kī ik sham.a jalā.ī ga.ī thīis tarah mamlukat-e-jism bachā.ī ga.ī thī
- مرے دماغ پہ آسیب کا اثر تو نہیںگماں گزرتا ہے یہ دشت میرا گھر تو نہیںmire dimāġh pe āseb kā asar to nahīñgumāñ guzartā hai ye dasht merā ghar to nahīñ
- یہ رت عزا کی ہے شہر حزیں سے گزرے گالٹے ہوؤں کا قبیلہ یہیں سے گزرے گاye rut azā kī hai shahr-e-hazīñ se guzregāluṭe huoñ kā qabīla yahīñ se guzregā
- میں اکثر سرد راتوں میںزمین خانۂ دل پرmaiñ aksar sard rātoñ meñzamīn ḳhāna-e-dil par
- اس کے ٹھہراؤ سے تھم جاتی ہے سب موج حیاتیعنی دریا میں نہیں سانس میں گہرائی ہےus ke ṭhahrā.o se tham jātī hai sab mauj-e-hayātya.anī dariyā meñ nahīñ sāns meñ gahrā.ī hai
- انا نے دونوں کے بیچ نفرت کی ایک دیوار کھینچ دی ہےادھر سے آنے کا مسئلہ ہے ادھر سے جانے کا مسئلہ ہےanā ne donoñ ke bīch nafrat kī ek dīvār khīñch dī haiidhar se āne kā masala hai idhar se jāne kā masala hai
- بہت غرور تھا سورج کو اپنی شدت پرسو ایک پل ہی سہی بادلوں سے ہار گیاbahut ġhurūr thā sūraj ko apnī shiddat parso ek pal hī sahī bādaloñ se hār gayā
- سرد راتوں کا تقاضہ تھا بدن جل جاےپھر وہ اک آگ جو سینہ سے لگائی میں نے
- شدت غم سے کوئی غم بھی نہیں ہو پایاجانے والے ترا ماتم بھی نہیں ہو پایاshiddat-e-ġham se koī ġham bhī nahīñ ho pāyājāne vāle tirā mātam bhī nahīñ ho pāyā
- میں رو پڑوں گا بہت بھینچ کے گلے نہ لگامیں پہلے جیسا نہیں ہوں کسی کا دکھ ہے مجھےmaiñ ro paṛūñgā bahut bhīnch ke gale na lagāmaiñ pahle jaisā nahīñ hūñ kisī kā dukh hai mujhe
- ہم وہ ناداں تھے جو شہروں کو سکوں جانتے تھےتم نہیں آئے ادھر تم نے سمجھ داری کیham vo nādāñ the jo shahroñ ko sakūñ jānte thetum nahīñ ā.e idhar tum ne samajh dārī kī
- یوں رات گئے کس کو صدا دیتے ہیں اکثروہ کون ہمارا تھا جو واپس نہیں آیہyūñ rāt ga.e kis ko sadā dete haiñ aksarvo kaun hamārā thā jo vāpas nahīñ āya
- یہ احتجاج عجب ہے خلاف تیغ ستمزمیں میں جذب نہیں ہو رہا ہے خوں میراye ehtijāj ajab hai ḳhilāf-e-teġh-e-sitamzamīñ meñ jazb nahīñ ho rahā hai ḳhūñ merā