Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qalaq Meerathi

قلق میرٹھی

1835–1880

Poems

  1. āsmāñ ahl-e-zamīñ se kyā kudūrat nāk thāmudda.ī bhī ḳhāk thī aur mudda.ā bhī ḳhāk thā
  2. ashk ke girte hī ānkhoñ meñ andherā chhā gayākaun sī hasrat kā yā rab ye charāġh-e-ḳhāna thā
  3. amn aur tere ahd meñ zālimkis tarah ḳhāk-e-rah guzar baiṭhe
  4. andāza ādmī kā kahāñ gar na ho sharābpaimāna zindagī kā nahīñ gar subū na ho
  5. but ḳhāne kī ulfat hai na ka.abe kī mohabbatjoyā.ī nairang hai jab tak ke nazar hai
  6. paṛā hai dair-o-ka.aba meñ ye kaisā ġhul ḳhudā jāneke vo parda nashīñ bāhar na ā jāne na jā jāne
  7. tujh se ai zindagī ghabrā hī chale the ham topar tashaffī hai ke ik dushman-e-jāñ rakhte haiñ
  8. tirī naved meñ har dāstāñ ko sunte haiñtirī umīd meñ har rah guzar ko dekhte haiñ
  9. tū dekh to idhar ke jo dekhā na jā.e phirtū guftugū kare to kabhī guftugū na ho
  10. tū hai harjā.ī to apnā bhī yahī tūr sahīto nahīñ aur sahī aur nahīñ aur sahī
  11. jabīn-e-pārsā ko dekh kar īmāñ laraztā haima.āz allāh ke kyā anjām hai is pārsā.ī kā
  12. jo kahtā hai vo kartā hai baraks us ke kāmham ko yaqīñ hai va.ada-e-nā ustuvār kā
  13. ḳhudā se ḍarte to ḳhauf-e-ḳhudā na karte hamke yād-e-but se haram meñ bukā na karte ham
  14. ḳhud ko kabhī na dekhā ā.īne hī ko dekhāham se to kyā ke ḳhud se nā āshnā rahā hai
  15. dil ke har juzv meñ judā.ī haidard uṭhe ābla agar baiṭhe
  16. rahm kar mastoñ pe kab tak tāq par rakhegā tosāġhar-e-mai sāqiyā zāhid kā īmāñ ho gayā
  17. zahe qismat ke us ke qaidiyoñ meñ ā ga.e ham bhīvale shor-e-salāsil meñ hai ik khaṭkā rihā.ī kā
  18. shahr un ke vāste hai jo rahte haiñ tujh se dūrghar un kā phir kahāñ jo tire dil meñ ghar kareñ
  19. fikr-e-sitam meñ āp bhī pāband ho ga.etum mujh ko chhoṛ do to maiñ tum ko rahā karūñ
  20. kidhar qafas thā kahāñ ham the kis taraf ye qaidkuchh ittifāq hai sayyād āb-o-dāne kā
  21. kufr aur islām meñ dekhā to nāzuk farq thāder meñ jo pāk thā ka.abe meñ vo nāpāk thā
  22. kyā ḳhāna ḳharāboñ kā lage tere ṭhikānāis shahr meñ rahte haiñ jahāñ ghar nahīñ hotā
  23. kyūñ kar na āstīñ meñ chhupā kar paṛheñ namāzhaq to hai ye azīz haiñ but hī ḳhudā ke ba.ad
  24. galī se apnī irāda na kar uṭhāne kātirā qadam hūñ na fitna hūñ maiñ zamāne kā
  25. maiñ rāz dāñ hūñ ye ke jahāñ thā vahāñ na thātū bad gumāñ hai vo ke jahāñ hai vahāñ nahīñ
  26. na lagtī ānkh to sone meñ kyā burā.ī thīḳhabar kuchh āp kī hotī to be ḳhabar hotā
  27. vā.iz ye mai kada hai na masjid ke is jagahzikr-e-halāl par bhī hai fatvā harām kā
  28. vo zikr thā tumhārā jo intihā se guzrāye qissa hai hamārā jo nātamām niklā
  29. vo sang dil angusht badnidāñ nazar āveaisā koī sadma mirī jāñ par nahīñ hotā
  30. har sang meñ ka.aba ke nihāñ ishva-e-but haikyā bānī-e-islām bhī ġhārat gar deñ thā
  31. ham us kūche meñ uṭhne ke liye baiṭhe haiñ muddat semagar kuchh kuchh sahārā hai abhī be dast-o-pā.ī kā
  32. ho mohabbat kī ḳhabar kuchh to ḳhabar phir kyūñ hoye bhī ik be ḳhabarī hai ke ḳhabar rakhte haiñ