Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Obaid Haris

b. 1990

Poems

Meter
  1. ubhartī ḍūbtī sānsoñ kā silsila kyūñ haikabhī ye soch ke jo kuchh huā huā kyūñ hai
  2. diloñ ke zaḳhm bharte kyūñ nahīñ haiñham us par ġhaur karte kyūñ nahīñ haiñ
  3. ajab ashkoñ kī bārish ho ga.ī haidiloñ kī gard sārī dho ga.ī hai
  4. mashīneñ kām apnā kar rahī haiñhameñ bhī apne jaisā kar rahī haiñ
  5. har taraf nāla-o-fariyād ke manzar dekheñtujh ko dekheñ ke tirā shahr-e-sitam gar dekheñ
  6. hamārī zāt meñ baste sabhī haiñham achchhe haiñ to phir achchhe sabhī haiñ
  7. apnā sach us ko sunāne ke liyeham ko qissoñ kā havāla chāhiye
  8. unheñ āge nikal jāne do hārisbalā.eñ kab se pīchhā kar rahī haiñ
  9. tah ba tah khultī hī rahtī hai sadāmīr ke dīvān sī hai zindagī
  10. ḳhālī dīvār burī lagtī haimerī tasvīr hī rahne dete
  11. sadā.eñ ḍūbtī haiñ jabḳhamoshī muskurātī hai
  12. kholo na koī aib kisī kā bhī yahāñ parāseb ko mil jā.egā darvāza khulā sā
  13. nayā chār din meñ purānā huāyahī sab huā to nayā kyā huā
  14. vaqt badlā soch badlī bāt badlīham se bachche kah rahe haiñ ham na.e haiñ
  15. ham kitāboñ meñ jise pāte haiñ hārisādmī vaisā koī miltā kahāñ hai