Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Momin Khan Momin

مومن خان مومن

1800–1852

Poems

  1. hai dil meñ ġhubār us ke ghar apnā na kareñgeham ḳhāk meñ milne kī tamannā na kareñge
  2. ye uzr-e-imtihān-e-jazb-e-dil kaisā nikal āyāmaiñ ilzām us ko detā thā qusūr apnā nikal āyā
  3. afsos shikāyat nihānī na ga.īdil par se raqīb kī girānī na ga.ī
  4. kyūñ zard hai rang kis liye ānsū lālkis vāste har ghaṛī rahe hai to niḍhāl
  5. momin ye asar siyāh mastī kā na hoandesha kabhī buland-o-pastī kā na ho
  6. hai sharm-e-gunah se jāñ kaisī be tābpar zikr jahāñ huā, huā jī hai tāb
  7. āp kī kaun sī baṛhī izzatmaiñ agar bazm meñ zalīl huā
  8. be ḳhud the ġhash the mahv the duniyā kā ġham na thājīnā visāl meñ bhī to hijrāñ se kam na thā
  9. chal diye sū-e-haram kū-e-butāñ se mominjab diyā ranj butoñ ne to ḳhudā yād āyā
  10. ḍartā hūñ āsmān se bijlī na gir paṛesayyād kī nigāh sū-e-āshiyāñ nahīñ
  11. rah ke masjid meñ kyā hī ghabrāyārāt kāṭī ḳhudā ḳhudā kar ke
  12. soz-e-ġham se ashk kā ek ek qatra jal gayāāg pānī meñ lagī aisī ke dariyā jal gayā
  13. shab jo masjid meñ jā phañse mominrāt kāṭī ḳhudā ḳhudā kar ke
  14. kar ilāj-e-josh-e-vahshat chāra garlā de ik jangal mujhe bāzār se
  15. kis pe marte ho āp pūchhte haiñmujh ko fikr-e-javāb ne mārā
  16. kisī kā huā āj kal thā kisī kāna hai to kisī kā na hogā kisī kā
  17. kyā jāne kyā likhā thā use iztirāb meñqāsid kī lāsh ā.ī hai ḳhat ke javāb meñ
  18. kyā milā arz-e-mudda.ā kar kebāt bhī khoī iltijā kar ke
  19. ma.ashūq se bhī ham ne nibhā.ī barābarīvāñ lutf kam huā to yahāñ pyār kam huā
  20. na karo ab nibāh kī bāteñtum ko ai mehrbān dekh liyā
  21. na mānūñgā nasīhat par na suntā maiñ to kyā kartāke har har bāt meñ nāseh tumhārā nām letā thā
  22. vo ā.e haiñ pashemāñ lāsh par abtujhe ai zindagī lā.ūñ kahāñ se
  23. hāth ṭūṭeñ maiñ ne gar chheṛī hūñ zulfeñ āp kīāp ke sar kī qasam bād-e-sabā thī maiñ na thā
  24. ho ga.e nām butāñ sunte hī momin be qarārham na kahte the ke hazrat pārsā kahne ko haiñ
  25. hai kuchh to bāt momin jo chhā ga.ī ḳhamoshīkis but ko de diyā dil kyūñ but se ban ga.e ho