Poet
Momin Khan Momin
مومن خان مومن1800–1852
Poems
- آپ کی کون سی بڑھی عزتمیں اگر بزم میں ذلیل ہواāp kī kaun sī baṛhī izzatmaiñ agar bazm meñ zalīl huā
- بے خود تھے غش تھے محو تھے دنیا کا غم نہ تھاجینا وصال میں بھی تو ہجراں سے کم نہ تھاbe ḳhud the ġhash the mahv the duniyā kā ġham na thājīnā visāl meñ bhī to hijrāñ se kam na thā
- چل دئیے سوئے حرم کوئے بتاں سے مومنؔجب دیا رنج بتوں نے تو خدا یاد آیاchal diye sū-e-haram kū-e-butāñ se mominjab diyā ranj butoñ ne to ḳhudā yād āyā
- ڈرتا ہوں آسمان سے بجلی نہ گر پڑےصیاد کی نگاہ سوئے آشیاں نہیںḍartā hūñ āsmān se bijlī na gir paṛesayyād kī nigāh sū-e-āshiyāñ nahīñ
- رہ کے مسجد میں کیا ہی گھبرایارات کاٹی خدا خدا کر کےrah ke masjid meñ kyā hī ghabrāyārāt kāṭī ḳhudā ḳhudā kar ke
- سوز غم سے اشک کا ایک ایک قطرہ جل گیاآگ پانی میں لگی ایسی کہ دریا جل گیاsoz-e-ġham se ashk kā ek ek qatra jal gayāāg pānī meñ lagī aisī ke dariyā jal gayā
- شب جو مسجد میں جا پھنسے مومنؔرات کاٹی خدا خدا کر کےshab jo masjid meñ jā phañse mominrāt kāṭī ḳhudā ḳhudā kar ke
- کر علاج جوش وحشت چارہ گرلا دے اک جنگل مجھے بازار سےkar ilāj-e-josh-e-vahshat chāra garlā de ik jangal mujhe bāzār se
- کس پہ مرتے ہو آپ پوچھتے ہیںمجھ کو فکر جواب نے ماراkis pe marte ho āp pūchhte haiñmujh ko fikr-e-javāb ne mārā
- کسی کا ہوا آج کل تھا کسی کانہ ہے تو کسی کا نہ ہوگا کسی کاkisī kā huā āj kal thā kisī kāna hai to kisī kā na hogā kisī kā
- کیا جانے کیا لکھا تھا اسے اضطراب میںقاصد کی لاش آئی ہے خط کے جواب میںkyā jāne kyā likhā thā use iztirāb meñqāsid kī lāsh ā.ī hai ḳhat ke javāb meñ
- کیا ملا عرض مدعا کر کےبات بھی کھوئی التجا کر کےkyā milā arz-e-mudda.ā kar kebāt bhī khoī iltijā kar ke
- معشوق سے بھی ہم نے نبھائی برابریواں لطف کم ہوا تو یہاں پیار کم ہواma.ashūq se bhī ham ne nibhā.ī barābarīvāñ lutf kam huā to yahāñ pyār kam huā
- نہ کرو اب نباہ کی باتیںتم کو اے مہربان دیکھ لیاna karo ab nibāh kī bāteñtum ko ai mehrbān dekh liyā
- نہ مانوں گا نصیحت پر نہ سنتا میں تو کیا کرتاکہ ہر ہر بات میں ناصح تمہارا نام لیتا تھاna mānūñgā nasīhat par na suntā maiñ to kyā kartāke har har bāt meñ nāseh tumhārā nām letā thā
- وہ آئے ہیں پشیماں لاش پر ابتجھے اے زندگی لاؤں کہاں سےvo ā.e haiñ pashemāñ lāsh par abtujhe ai zindagī lā.ūñ kahāñ se
- ہاتھ ٹوٹیں میں نے گر چھیڑی ہوں زلفیں آپ کیآپ کے سر کی قسم باد صبا تھی میں نہ تھاhāth ṭūṭeñ maiñ ne gar chheṛī hūñ zulfeñ āp kīāp ke sar kī qasam bād-e-sabā thī maiñ na thā
- ہو گئے نام بتاں سنتے ہی مومنؔ بے قرارہم نہ کہتے تھے کہ حضرت پارسا کہنے کو ہیںho ga.e nām butāñ sunte hī momin be qarārham na kahte the ke hazrat pārsā kahne ko haiñ
- ہے کچھ تو بات مومنؔ جو چھا گئی خموشیکس بت کو دے دیا دل کیوں بت سے بن گئے ہوhai kuchh to bāt momin jo chhā ga.ī ḳhamoshīkis but ko de diyā dil kyūñ but se ban ga.e ho