Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ibraheem Hosh

1918–1988

Poems

Meter
  1. dariyā meñ hai sarāb ajab ibtilā meñ hūñmaiñ bhī hasīn hī kī tarah karbalā meñ hūñ
  2. dair-o-haram meñ dasht-o-bayābān-o-bāġh meñḍhūñḍo na mujh ko maiñ hūñ ḳhud apne surāġh meñ
  3. maiñ vo nahīñ ke zamāne se be amal jā.ūñmizāj pūchh ke dār-o-rasan kā ṭal jā.ūñ
  4. āj zindāñ meñ use bhī le ga.ejo kabhī ik lafz tak bolā nahīñ
  5. in hazāroñ meñ aur āp, ye kyā?āp, jo ek the hazāroñ meñ
  6. jo chup lagā.ūñ to sahrā kī ḳhāmushī jāgejo muskurā.ūñ to āzurdagī bhī sharmā.e
  7. rote rote mire hañsne pe ta.ajjub na karohai vahī chīz magar dūsre andāz meñ hai
  8. tai kar ke dil kā zīna vo ik qatra ḳhūn kāpalkoñ kī chhat tak āyā to lekin girā nahīñ
  9. kartā hūñ ek ḳhvāb ke mub.ham nuqūsh yādjab se khulī hai ānkh isī mashġhale meñ hūñ
  10. lafzoñ se banā insāñ lafzoñ hī meñ rahtā hailafzoñ se sañvartā hai lafzoñ se bigaṛtā hai
  11. mirī nazar meñ hai anjām is ta.āqub kājahāñ bhī dostī jātī hai dushmanī jā.e
  12. yādoñ ne le liyā mujhe apne hisār meñmerā vajūd hāfiza ban kar sakaṛ gayā