Poet
Ibraheem Hosh
1918–1988
Poems
- آج زنداں میں اسے بھی لے گئےجو کبھی اک لفظ تک بولا نہیںāj zindāñ meñ use bhī le ga.ejo kabhī ik lafz tak bolā nahīñ
- ان ہزاروں میں اور آپ، یہ کیا؟آپ، جو ایک تھے ہزاروں میںin hazāroñ meñ aur āp, ye kyā?āp, jo ek the hazāroñ meñ
- جو چپ لگاؤں تو صحرا کی خامشی جاگےجو مسکراؤں تو آزردگی بھی شرمائےjo chup lagā.ūñ to sahrā kī ḳhāmushī jāgejo muskurā.ūñ to āzurdagī bhī sharmā.e
- روتے روتے مرے ہنسنے پہ تعجب نہ کروہے وہی چیز مگر دوسرے انداز میں ہےrote rote mire hañsne pe ta.ajjub na karohai vahī chīz magar dūsre andāz meñ hai
- طے کر کے دل کا زینہ وہ اک قطرہ خون کاپلکوں کی چھت تک آیا تو لیکن گرا نہیںtai kar ke dil kā zīna vo ik qatra ḳhūn kāpalkoñ kī chhat tak āyā to lekin girā nahīñ
- کرتا ہوں ایک خواب کے مبہم نقوش یادجب سے کھلی ہے آنکھ اسی مشغلے میں ہوںkartā hūñ ek ḳhvāb ke mub.ham nuqūsh yādjab se khulī hai ānkh isī mashġhale meñ hūñ
- لفظوں سے بنا انساں لفظوں ہی میں رہتا ہےلفظوں سے سنورتا ہے لفظوں سے بگڑتا ہےlafzoñ se banā insāñ lafzoñ hī meñ rahtā hailafzoñ se sañvartā hai lafzoñ se bigaṛtā hai
- مری نظر میں ہے انجام اس تعاقب کاجہاں بھی دوستی جاتی ہے دشمنی جائےmirī nazar meñ hai anjām is ta.āqub kājahāñ bhī dostī jātī hai dushmanī jā.e
- یادوں نے لے لیا مجھے اپنے حصار میںمیرا وجود حافظہ بن کر سکڑ گیاyādoñ ne le liyā mujhe apne hisār meñmerā vajūd hāfiza ban kar sakaṛ gayā