Poet
Bekhud Dehlvi
بیخود دہلوی1863–1955
Poems
- وہ اور تسلی مجھے دیں ان کی بلا دےجاتے ہوئے فرما تو گئے صبر خدا دےvo aur tasallī mujhe deñ un kī balā dejāte hue farmā to ga.e sabr ḳhudā de
- وہ دیکھتے جاتے ہیں کنکھیوں سے ادھر بھیچلتا ہوا جادو ہے محبت کی نظر بھیvo dekhte jāte haiñ kinkhiyoñ se idhar bhīchaltā huā jādū hai mohabbat kī nazar bhī
- ہو کے مجبور آہ کرتا ہوںتھام کر دل گناہ کرتا ہوںho ke majbūr āh kartā hūñthām kar dil gunāh kartā hūñ
- ہیں نکہت گل باغ میں اے باد صبا ہمدم بھر میں نمودار ہیں دم بھر میں فنا ہمhaiñ nik.hat-e-gul bāġh meñ ai bād-e-sabā hamdam bhar meñ numūdār haiñ dam bhar meñ fanā ham
- بے وفا کہنے سے کیا وہ بے وفا ہو جائے گاتیرے ہوتے اس صفت کا دوسرا ہو جائے گاbe vafā kahne se kyā vo be vafā ho jā.egātere hote is sifat kā dūsrā ho jā.egā
- مجھ کو نہ دل پسند نہ وہ بے وفا پسنددونوں ہیں خود غرض مجھے دونوں ہیں نا پسندmujh ko na dil pasand na vo be vafā pasanddonoñ haiñ ḳhud ġharaz mujhe donoñ haiñ nā pasand
- وہ سن کر حور کی تعریف پردے سے نکل آئےکہا پھر مسکرا کر حسن زیبا اس کو کہتے ہیںvo sun kar hūr kī ta.arīf parde se nikal ā.ekahā phir muskurā kar husn zebā us ko kahte haiñ
- ہر ایک بات تری بے ثبات کتنی ہےپلٹنا بات کو دم بھر میں بات کتنی ہےhar ek bāt tirī be sabāt kitnī haipalaṭnā bāt ko dam bhar meñ bāt kitnī hai
- ہوا جو وقف غم وہ دل کسی کا ہو نہیں سکتاتمہارا بن نہیں سکتا ہمارا ہو نہیں سکتاhavā jo vaqf-e-ġham vo dil kisī kā ho nahīñ saktātumhārā ban nahīñ saktā hamārā ho nahīñ saktā