Poet
Umar Ansari
1912–2005
Poems
- جس آئینے میں بھی جھانکا نظر اسی سے ملیمجھے تو اپنی بھی یارو خبر اسی سے ملیjis ā.īne meñ bhī jhāñkā nazar usī se milīmujhe to apnī bhī yāro ḳhabar usī se milī
- کر اپنی بات کہ پیارے کسی کی بات سے کیالیا ہے کام بتا تو نے اس حیات سے کیاkar apnī bāt ke pyāre kisī kī bāt se kyāliyā hai kām batā tū ne is hayāt se kyā
- لڑ جاتے ہیں سروں پہ مچلتی قضا سے بھیڈرتے نہیں چراغ ہمارے ہوا سے بھیlaṛ jāte haiñ saroñ pe machaltī qazā se bhīḍarte nahīñ charāġh hamāre havā se bhī
- مجھے مہماں ہی جانو رات بھر کادیا ہوں دوستوں میں رہ گزر کاmujhe mehmāñ hī jāno rāt bhar kādiyā hūñ dostoñ meñ rah guzar kā
- ہر اک کا درد اسی آشفتہ سر میں تنہا تھاوہ ایک شخص جو سارے نگر میں تنہا تھاhar ik kā dard isī āshufta sar meñ tanhā thāvo ek shaḳhs jo sāre nagar meñ tanhā thā
- ہو کے اس کوچے سے آئی تو ستم ڈھا گئی کیاکچھ سمجھ میں نہیں آتا کہ صبا پا گئی کیاho ke us kūche se ā.ī to sitam ḍhā ga.ī kyākuchh samajh meñ nahīñ ātā ke sabā pā ga.ī kyā
- ہیں سارے جرم جب اپنے حساب میں لکھناسوال یہ ہے کہ پھر کیا جواب میں لکھناhaiñ sāre jurm jab apne hisāb meñ likhnāsavāl ye hai ke phir kyā javāb meñ likhnā
- باہر باہر سناٹا ہے اندر اندر شور بہتدل کی گھنی بستی میں یارو آن بسے ہیں چور بہتbāhar bāhar sannāṭā hai andar andar shor bahutdil kī ghanī bastī meñ yāro ān base haiñ chūr bahut
- طاری ہے ہر طرف جو یہ عالم سکوت کاطوفاں کا پیش خیمہ سمجھ خامشی نہیںtārī hai har taraf jo ye ālam sukūt kātūfāñ kā pesh ḳhema samajh ḳhāmushī nahīñ
- مسافروں سے محبت کی بات کر لیکنمسافروں کی محبت کا اعتبار نہ کرmusāfiroñ se mohabbat kī bāt kar lekinmusāfiroñ kī mohabbat kā etibār na kar
- وہی دیا کہ تھیں عاجز ہوائیں جن سے عمرؔکسی کے پھر نہ جلائے جلا بجھا ایساvahī diyā ke thīñ ājiz havā.eñ jin se umarkisī ke phir na jalā.e jalā bujhā aisā