Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Sabeela Inam Siddiqui

b. 1994

Poems

  1. ānkhoñ meñ vo ā.eñ to hañsāte haiñ mujhe ḳhvābhar roz na.e bāġh dikhāte haiñ mujhe ḳhvāb
  2. idrāk hī muhāl hai ḳhvāb-o-ḳhayāl kādil ke varaq pe aks hai us ke jamāl kā
  3. use betāb ho kar sochtī hūñmaiñ ik gulfām aksar sochtī hūñ
  4. agar alfāz se ġham kā izāla ho gayā hotāhaqīqat to na hotī bas dikhāvā ho gayā hotā
  5. bād-e-sarsar bhī qurbat kī chaltī rahe din nikaltā rahe shām ḍhaltī rahezulf hāthoñ se tere sañvartī rahe din nikaltā rahe shām ḍhaltī rahe
  6. bigaṛne vālā kisī din sañvar hī jā.egāmizāj-e-dost bilāḳhir sudhar hī jā.egā
  7. paiġhām-e-zindagī hai ḳhushī kī naved haimere liye to āp kā dīdār e.id hai
  8. tum dil kī dil meñ rakho batāyā nahīñ karoyūñ kah ke dāstān rulāyā nahīñ karo
  9. ḳhāmosh hūñ maiñ lab pe shikāyat to nahīñ haifariyād karūñ ye mirī ādat to nahīñ hai
  10. rakhe har ik qadam pe jo mushkil kī āgahīmiltī hai us ko rāh se manzil kī āgahī
  11. kabhī to dil kā kahā dil se vo sunegā hīye qatra sang meñ sūrāḳh to karegā hī
  12. kis ko batāte kis se chhupāte surāġh-e-dilchup sādh lī hai zaḳhm dikhāyā na dāġh-e-dil
  13. vafā ke rāz se parda nahīñ uṭhā.ūñgīmaiñ dil ke zaḳhm-e-tah dil se hī chhupā.ūñgī
  14. vo is adā se duā karegāhamārā ho kar rahā karegā
  15. hai tarjumān-e-alam aur adīb hai sardītabhī to nok-e-qalam se qarīb hai sardī