Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

نشتر چھپروی

Poems

Meter
  1. ā.e haiñ fātiha ko vo gesū sañvār kechamke nasīb āj hamāre mazār ke
  2. ik ġhair ke mahfil se uṭhāyā nahīñ jātāik maiñ ke kabhī sāth biṭhāyā nahīñ jātā
  3. un kī bātoñ ko kuchh qayām nahīñsub.h kahte haiñ hāñ to shām nahīñ
  4. tum hijr ke jhagṛoñ ko miṭā kyūñ nahīñ detebigṛī huī taqdīr banā kyūñ nahīñ dete
  5. jab ishq kā junūñ mire sar par savār thādil ko qarār thā na jigar ko qarār thā
  6. dard vo tū ne diyā jis kā mudāvā na huāterā bīmār masīhā se bhī achchhā na huā
  7. abas fikr-e-davā meñ hai pareshāñ chāra gar merāmirā sar jā.egā to jā.egā ye dard-e-sar merā
  8. kyā bachche dil jān levā us kā har andāz haiġhamza hai ishva hai shoḳhī hai adā hai nāz hai
  9. maiñ kyā kahūñ ke hāl hai kyā hijr-e-yār meñdil iḳhtiyār meñ na jigar iḳhtiyār meñ
  10. na bikhrāyā karo tum baiṭhe baiṭhe zulf-e-pechāñ koḳhudā ke vāste dekho mire hāl-e-pareshāñ ko
  11. vo bhī kyā din the ke jab chāh na thī pyār na thāhijr kā ranj na thā ishq kā āzār na thā