Poet
Munawwar Rana
Poems
- میرے اسکول مری یادوں کے پیکر سن لےمیں ترے واسطے روتا ہوں برابر سن لےmere iskūl mirī yādoñ ke paikar sun lemaiñ tire vāste rotā hūñ barābar sun le
- اس کی بنائی ہوئی ہر تصویراخباروں کی خبر بن جاتی ہےus kī banā.ī huī har tasvīraḳhbāroñ kī ḳhabar ban jātī hai
- اس کی ہر باتہر اشارےus kī har bāthar ishāre
- عمر کی ڈھلتی ہوئی دوپہر میںٹھنڈی ہوا کے جھونکے کا احساس بھیumr kī ḍhaltī huī dopahar meñṭhanḍī havā ke jhonke kā ehsās bhī
- اب آپ کی مرضی ہے سنبھالیں نہ سنبھالیںخوشبو کی طرح آپ کے رومال میں ہم ہیںab āp kī marzī hai sambhāleñ na sambhāleñḳhushbū kī tarah āp ke rūmāl meñ ham haiñ
- اب جدائی کے سفر کو مرے آسان کروتم مجھے خواب میں آ کر نہ پریشان کروab judā.ī ke safar ko mire āsān karotum mujhe ḳhvāb meñ ā kar na pareshān karo
- ابھی زندہ ہے ماں میری مجھے کچھ بھی نہیں ہوگامیں گھر سے جب نکلتا ہوں دعا بھی ساتھ چلتی ہےabhī zinda hai māñ merī mujhe kuchh bhī nahīñ hogāmaiñ ghar se jab nikaltā hūñ duā bhī sāth chaltī hai
- اس طرح میرے گناہوں کو وہ دھو دیتی ہےماں بہت غصے میں ہوتی ہے تو رو دیتی ہےis tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī haimāñ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai
- بچوں کی فیس ان کی کتابیں قلم دواتمیری غریب آنکھوں میں اسکول چبھ گیاbachchoñ kī fīs un kī kitābeñ qalam davātmerī ġharīb ānkhoñ meñ iskūl chubh gayā
- برباد کر دیا ہمیں پردیس نے مگرماں سب سے کہہ رہی ہے کہ بیٹا مزے میں ہےbarbād kar diyā hameñ pardes ne magarmāñ sab se kah rahī hai ke beṭā maze meñ hai
- بوجھ اٹھانا شوق کہاں ہے مجبوری کا سودا ہےرہتے رہتے اسٹیشن پر لوگ قلی ہو جاتے ہیںbojh uṭhānā shauq kahāñ hai majbūrī kā saudā hairahte rahte isṭeshan par log qulī ho jāte haiñ
- پھر کربلا کے بعد دکھائی نہیں دیاایسا کوئی بھی شخص کہ پیاسا کہیں جسےphir karbalā ke ba.ad dikhā.ī nahīñ diyāaisā koī bhī shaḳhs ke pyāsā kahīñ jise
- تمام جسم کو آنکھیں بنا کے راہ تکوتمام کھیل محبت میں انتظار کا ہےtamām jism ko ānkheñ banā ke rāh takotamām khel mohabbat meñ intizār kā hai
- تمہاری آنکھوں کی توہین ہے ذرا سوچوتمہارا چاہنے والا شراب پیتا ہےtumhārī ānkhoñ kī tauhīn hai zarā sochotumhārā chāhne vālā sharāb pītā hai
- تمہارے شہر میں میت کو سب کاندھا نہیں دیتےہمارے گاؤں میں چھپر بھی سب مل کر اٹھاتے ہیںtumhāre shahr meñ mayyat ko sab kāndhā nahīñ detehamāre gā.oñ meñ chhappar bhī sab mil kar uṭhāte haiñ
- تمہیں بھی نیند سی آنے لگی ہے تھک گئے ہم بھیچلو ہم آج یہ قصہ ادھورا چھوڑ دیتے ہیںtumheñ bhī nīnd sī āne lagī hai thak ga.e ham bhīchalo ham āj ye qissa adhūrā chhoṛ dete haiñ
- تیرے دامن میں ستارے ہیں تو ہوں گے اے فلکمجھ کو اپنی ماں کی میلی اوڑھنی اچھی لگیtere dāman meñ sitāre haiñ to hoñge ai falakmujh ko apnī māñ kī mailī oṛhnī achchhī lagī
- جب بھی کشتی مری سیلاب میں آ جاتی ہےماں دعا کرتی ہوئی خواب میں آ جاتی ہےjab bhī kashtī mirī sailāb meñ ā jātī haimāñ duā kartī huī ḳhvāb meñ ā jātī hai
- چلتی پھرتی ہوئی آنکھوں سے اذاں دیکھی ہےمیں نے جنت تو نہیں دیکھی ہے ماں دیکھی ہےchaltī phirtī huī ānkhoñ se azāñ dekhī haimaiñ ne jannat to nahīñ dekhī hai māñ dekhī hai
- دن بھر کی مشقت سے بدن چور ہے لیکنماں نے مجھے دیکھا تو تھکن بھول گئی ہےdin bhar kī mashaqqat se badan chūr hai lekinmāñ ne mujhe dekhā to thakan bhūl ga.ī hai
- دولت سے محبت تو نہیں تھی مجھے لیکنبچوں نے کھلونوں کی طرف دیکھ لیا تھاdaulat se mohabbat to nahīñ thī mujhe lekinbachchoñ ne khilaunoñ kī taraf dekh liyā thā
- سگی بہنوں کا جو رشتہ ہے اردو اور ہندی میںکہیں دنیا کی دو زندہ زبانوں میں نہیں ملتاsagī bahnoñ kā jo rishta hai urdū aur hindī meñkahīñ duniyā kī do zinda zabānoñ meñ nahīñ miltā
- شہر کے رستے ہوں چاہے گاؤں کی پگڈنڈیاںماں کی انگلی تھام کر چلنا بہت اچھا لگا
- فرشتے آ کر ان کے جسم پر خوشبو لگاتے ہیںوہ بچے ریل کے ڈبوں میں جو جھاڑو لگاتے ہیںfarishte ā kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñvo bachche rel ke ḍabboñ meñ jo jhāṛo lagāte haiñ
- کچھ بکھری ہوئی یادوں کے قصے بھی بہت تھےکچھ اس نے بھی بالوں کو کھلا چھوڑ دیا تھاkuchh bikhrī huī yādoñ ke qisse bhī bahut thekuchh us ne bhī bāloñ ko khulā chhoṛ diyā thā
- کسی کے زخم پر چاہت سے پٹی کون باندھے گااگر بہنیں نہیں ہوں گی تو راکھی کون باندھے گاkisī ke zaḳhm par chāhat se piṭī kaun bāñdhegāagar bahneñ nahīñ hoñgī to rākhī kaun bāñdhegā
- کل اپنے آپ کو دیکھا تھا ماں کی آنکھوں میںیہ آئینہ ہمیں بوڑھا نہیں بتاتا ہےkal apne āp ko dekhā thā māñ kī ānkhoñ meñye ā.īna hameñ būṛhā nahīñ batātā hai
- کھلونوں کی دکانوں کی طرف سے آپ کیوں گزرےیہ بچے کی تمنا ہے یہ سمجھوتا نہیں کرتیkhilaunoñ kī dukānoñ kī taraf se āp kyūñ guzreye bachche kī tamannā hai ye samjhotā nahīñ kartī
- کھلونوں کے لئے بچے ابھی تک جاگتے ہوں گےتجھے اے مفلسی کوئی بہانہ ڈھونڈ لینا ہےkhilaunoñ ke liye bachche abhī tak jāgte hoñgetujhe ai muflisī koī bahāna ḍhūñḍ lenā hai
- لپٹ جاتا ہوں ماں سے اور موسی مسکراتی ہےمیں اردو میں غزل کہتا ہوں ہندی مسکراتی ہےlipaṭ jātā hūñ māñ se aur mūsā muskurātī haimaiñ urdū meñ ġhazal kahtā hūñ hindī muskurātī hai
- ماں خواب میں آ کر یہ بتا جاتی ہے ہر روزبوسیدہ سی اوڑھی ہوئی اس شال میں ہم ہیںmāñ ḳhvāb meñ ā kar ye batā jātī hai har rozbosīda sī oṛhī huī is shāl meñ ham haiñ
- مٹی کا بدن کر دیا مٹی کے حوالےمٹی کو کہیں تاج محل میں نہیں رکھاmiṭṭī kā badan kar diyā miṭṭī ke havālemiṭṭī ko kahīñ tāj mahal meñ nahīñ rakhā
- محبت ایک پاکیزہ عمل ہے اس لیے شایدسمٹ کر شرم ساری ایک بوسے میں چلی آئیmohabbat ek pākīza amal hai is liye shāyadsimaṭ kar sharm sārī ek bose meñ chalī ā.ī
- منور ماں کے آگے یوں کبھی کھل کر نہیں روناجہاں بنیاد ہو اتنی نمی اچھی نہیں ہوتیmunavvar māñ ke āge yūñ kabhī khul kar nahīñ ronājahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī
- میں نے کل شب چاہتوں کی سب کتابیں پھاڑ دیںصرف اک کاغذ پہ لکھا لفظ ماں رہنے دیاmaiñ ne kal shab chāhatoñ kī sab kitābeñ phāṛ deñsirf ik kāġhaz pe likhā lafz māñ rahne diyā
- نکلنے ہی نہیں دیتی ہیں اشکوں کو مری آنکھیںکہ یہ بچے ہمیشہ ماں کی نگرانی میں رہتے ہیںnikalne hī nahīñ detī haiñ ashkoñ ko mirī ānkheñke ye bachche hamesha māñ kī nigrānī meñ rahte haiñ
- ہم نہیں تھے تو کیا کمی تھی یہاںہم نہ ہوں گے تو کیا کمی ہوگیham nahīñ the to kyā kamī thī yahāñham na hoñge to kyā kamī hogī
- ہنس کے ملتا ہے مگر کافی تھکی لگتی ہیںاس کی آنکھیں کئی صدیوں کی جگی لگتی ہیںhañs ke miltā hai magar kāfī thakī lagtī haiñus kī ānkheñ ka.ī sadiyoñ kī juggī lagtī haiñ
- یہ سوچ کے ماں باپ کی خدمت میں لگا ہوںاس پیڑ کا سایا مرے بچوں کو ملے گاye soch ke māñ bāp kī ḳhidmat meñ lagā hūñis peṛ kā sāyā mire bachchoñ ko milegā