Poet
Kaifi Hyderabadi
کیفی حیدرآبادی1880–1920
Poems
- اپنا خط آپ دیا ان کو مگر یہ کہہ کرخط تو پہچانئے یہ خط مجھے گمنام ملاapnā ḳhat āp diyā un ko magar ye kah karḳhat to pahchāniye ye ḳhat mujhe gumnām milā
- اور بھی تو ہیں زمانے میں تمہارے عاشقایک میں ہی تمہیں کیا قابل الزام ملاaur bhī to haiñ zamāne meñ tumhāre āshiqek maiñ hī tumheñ kyā qābil-e-ilzām milā
- خم سبو ساغر صراحی جام پیمانہ مرامیرے ساقی جب مرا تو ہے تو مے خانہ مراḳham subū sāġhar surāhī jām paimāna mirāmere sāqī jab mirā to hai to mai ḳhāna mirā
- دل لینے کے انداز بھی کچھ سیکھ گیا ہوںصحبت میں حسینوں کی بہت روز رہا ہوںdil lene ke andāz bhī kuchh sīkh gayā hūñsohbat meñ hasīnoñ kī bahut roz rahā hūñ
- رقیب دونوں جہاں میں ذلیل کیوں ہوتاکسی کے بیچ میں کمبخت اگر نہیں آتاraqīb donoñ jahāñ meñ zalīl kyūñ hotākisī ke bīch meñ kambaḳht agar nahīñ ātā
- صبح کو کھل جائے گا دونوں میں کیا یارانہ ہےشمع پروانہ کی ہے یا شمع کا پروانہ ہےsub.h ko khul jā.egā donoñ meñ kyā yārāna haisham.a parvāna kī hai yā sham.a kā parvāna hai
- محبت میں کیا کیا نہ کچھ جور ہوگاابھی کیا ہوا ہے ابھی اور ہوگاmohabbat meñ kyā kyā na kuchh jaur hogāabhī kyā huā hai abhī aur hogā
- مزا ہے ترے بسملوں کو تڑپ میںتڑپ میں نہیں بسملوں میں مزا ہےmazā hai tire bismiloñ ko taṛap meñtaṛap meñ nahīñ bismiloñ meñ mazā hai
- وہ اب کیا خاک آئے ہائے قسمت میں ترسنا تھاتجھے اے ابر رحمت آج ہی اتنا برسنا تھاvo ab kyā ḳhāk ā.e hā.e qismat meñ tarasnā thātujhe ai abr-e-rahmat āj hī itnā barasnā thā
- وہی نظر میں ہے لیکن نظر نہیں آتاسمجھ رہا ہوں سمجھ میں مگر نہیں آتاvahī nazar meñ hai lekin nazar nahīñ ātāsamajh rahā hūñ samajh meñ magar nahīñ ātā
- ہم آپ کو دیکھتے تھے پہلےاب آپ کی راہ دیکھتے ہیںham āp ko dekhte the pahleab āp kī rāh dekhte haiñ