Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Deepak Purohit

b. 1954

Poems

Meter
  1. uf ye dil hādsoñ se ubhartā nahīñkyūñ ye kambaḳht muqaddar sañvartā nahīñ
  2. to kyā rābta phir ḳhudā kā bashar seta.alluq nahīñ jab duā kā asar se
  3. maiñ muddat se tirī āmad kā yūñ ālam sajā.e hūñajab hai be ḳhudī dahlīz pe nazreñ jamā.e hūñ
  4. na lāzim tavaqqo hai ahl-e-mahal sekaro zīst shādāb ilm-o-amal se
  5. achchhā huā zabān-e-ḳhamoshī na tum paṛheshikve mire vagarna rulāte tumheñ bahut
  6. azal se barse hai pākīzgī falak se yahāñnumāyāñ hove hai phir shakl bahan meñ vo yahāñ
  7. ek umr bhar meñ tai ye safar muḳhtasar huāshahr-e-ḳhamoshāñ ghar se bahut dūr to na thā
  8. tū bach rahegā yaqīnan ye sirf ānkhoñ meñbachāyā tum ne na pānī jo vaqt ke rahte
  9. thā kabhī un kī nigāhoñ meñ buland apnā maqāmitnī ūnchā.ī se gir kar bhī koī bachtā hai
  10. jab ānā ḳhvāb meñ haule se narmī se qadam rakhnāgirāñ hai ik zarā āhaṭ tire mahv-e-tasavvur ko
  11. ḳhūb rū kaun ye āyā chaman meñ āj ke yāñsharm se surḳh hue jāte haiñ ye phūl sabhī
  12. ḳhushāmad tābe dārī minnat-o-ḳhidmat sujūd-e-husnazal se dīdanī hai be basī-o-ājizī-e-ishq
  13. siyah baḳhtī kā sāya dīda-o-dil par hai yūñ tārīke ik muddat se mere din bhī kajlā.e hue se haiñ
  14. ajab chalan hai ye bāzār-e-ishq kā ke yahāñchūnī chaltī hai ropiye meñ husn vāloñ kī
  15. kahāñ jur.at in ashkoñ kī ke dahrī ānkh kī lāngheñhai pahrā zabt kā aisā ke sahme sahme rahte haiñ
  16. ke hai muḳhtasar dāstāñ ishq kīgale mil ke koī gale paṛ gayā
  17. lamhāt-e-vasl yād jo ā.e shab-e-firāqyak laḳht-e-surḳh ho ga.e āriz be iḳhtiyār
  18. vatan parastī hamārā maz.hab haiñ jism-o-jāñ mulk kī amānatkareñge barpā qahr adū par rahegā dā.im vatan salāmat
  19. havas-e-zar ne kiyā rishtoñ kā jo hāl na pūchhḳhūñ rulātā hai yahāñ ḳhūn kā rishta apnā
  20. hai ḳhūb manzar chāra girī ke ham ne yahāñduā ke dar pe hai dekhā davā ko sajde meñ
  21. yūñ guftugū-e-ulfat dilchasp ham kareñgeānkhoñ se tum kahoge ānkhoñ se ham suneñge
  22. ye kaisī bad duā dī hai kisī nesamundar hūñ magar khārā huā hūñ