Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Deepak Purohit

b. 1954

Poems

Meter
  1. achchhā huā zabān-e-ḳhamoshī na tum paṛheshikve mire vagarna rulāte tumheñ bahut
  2. azal se barse hai pākīzgī falak se yahāñnumāyāñ hove hai phir shakl bahan meñ vo yahāñ
  3. ek umr bhar meñ tai ye safar muḳhtasar huāshahr-e-ḳhamoshāñ ghar se bahut dūr to na thā
  4. tū bach rahegā yaqīnan ye sirf ānkhoñ meñbachāyā tum ne na pānī jo vaqt ke rahte
  5. thā kabhī un kī nigāhoñ meñ buland apnā maqāmitnī ūnchā.ī se gir kar bhī koī bachtā hai
  6. jab ānā ḳhvāb meñ haule se narmī se qadam rakhnāgirāñ hai ik zarā āhaṭ tire mahv-e-tasavvur ko
  7. ḳhūb rū kaun ye āyā chaman meñ āj ke yāñsharm se surḳh hue jāte haiñ ye phūl sabhī
  8. ḳhushāmad tābe dārī minnat-o-ḳhidmat sujūd-e-husnazal se dīdanī hai be basī-o-ājizī-e-ishq
  9. siyah baḳhtī kā sāya dīda-o-dil par hai yūñ tārīke ik muddat se mere din bhī kajlā.e hue se haiñ
  10. ajab chalan hai ye bāzār-e-ishq kā ke yahāñchūnī chaltī hai ropiye meñ husn vāloñ kī
  11. kahāñ jur.at in ashkoñ kī ke dahrī ānkh kī lāngheñhai pahrā zabt kā aisā ke sahme sahme rahte haiñ
  12. ke hai muḳhtasar dāstāñ ishq kīgale mil ke koī gale paṛ gayā
  13. lamhāt-e-vasl yād jo ā.e shab-e-firāqyak laḳht-e-surḳh ho ga.e āriz be iḳhtiyār
  14. vatan parastī hamārā maz.hab haiñ jism-o-jāñ mulk kī amānatkareñge barpā qahr adū par rahegā dā.im vatan salāmat
  15. havas-e-zar ne kiyā rishtoñ kā jo hāl na pūchhḳhūñ rulātā hai yahāñ ḳhūn kā rishta apnā
  16. hai ḳhūb manzar chāra girī ke ham ne yahāñduā ke dar pe hai dekhā davā ko sajde meñ
  17. yūñ guftugū-e-ulfat dilchasp ham kareñgeānkhoñ se tum kahoge ānkhoñ se ham suneñge
  18. ye kaisī bad duā dī hai kisī nesamundar hūñ magar khārā huā hūñ