Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Danish Aziz

b. 1970

Poems

Meter
  1. insānoñ kā chup kar jānā ṭhīk nahīñtahrīroñ kā shor machānā ṭhīk nahīñ
  2. bikhrā paṛā thā jā bajā kachrā vajūd kāham chhoṛ ā.e us galī malba vajūd kā
  3. be shumāro mere yāro alvidāmurġh-e-zāro chānd tāro alvidā
  4. paggḍanḍī lag rahī thī pahāṛoñ ke darmiyāñniklī huī thī māñg yūñ bāloñ ke darmiyāñ
  5. tū faqat kahānī sun hichkiyoñ ko bhūl jāashk bār log gin tāliyoñ ko bhūl jā
  6. hasīñ jabīñ pe mire honṭ thartharāne lagephir is ke ba.ad mire hosh kab ṭhikāne lage
  7. dhaṛakte dil ko yūñ dhaṛkan sunāyā karte haiñkhulī hūñ bānheñ to un meñ samāyā karte haiñ
  8. kahā thā tum se na pyār karnā vahī kiyā nāna lafz bannā na sher kahnā vahī kiyā nā
  9. gar sub.h dam vo ḳhush galo ḳhush ḳhū nikal paṛephūloñ ko chhoṛ chhāṛ ke ḳhushbū nikal paṛe
  10. mujh ko thapak thapak ke sulātā rahā charāġhpahlū meñ rāt bhar mire baiṭhā rahā charāġh
  11. mere jaise is bastī meñ aur bhī pāgal rahte haiñsab ne ānkheñ girvī rakh kar ādhe ḳhvāb ḳharīde haiñ
  12. vo kisī aur se milā hogādil ye kahtā hai vāhima hogā
  13. ho jā.eñ kisī ke jo kabhī yār munāfiqsamjho ke hue haiñ dar-o-dīvār munāfiq