Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Unknown

نامعلوم

Poems

  1. dostī ḳhvāb hai aur ḳhvāb kī ta.abīr bhī hairishta-e-ishq bhī hai yād kī zanjīr bhī hai
  2. dekhā na koh kin koī farhād ke baġhairātā nahīñ hai fan koī ustād ke baġhair
  3. dekhā hilāl-e-e.id to āyā terā ḳhayālvo āsmāñ kā chānd hai to merā chānd hai
  4. zāhid sharāb pīne de masjid meñ baiṭh karyā vo jagah batā de jahāñ par ḳhudā na ho
  5. zindagī ke udās lamhoñ meñbe vafā dost yād āte haiñ
  6. zindagī yūñ hī bahut kam hai mohabbat ke liyerūṭh kar vaqt gañvāne kī zarūrat kyā hai
  7. salīqe se havā.oñ meñ jo ḳhushbū ghol sakte haiñabhī kuchh log bāqī haiñ jo urdū bol sakte haiñ
  8. sunā hai terī mahfil meñ sukūn-e-dil bhī miltā haimagar ham jab tirī mahfil se ā.e be qarār ā.e
  9. shāḳheñ raheñ to phūl bhī patte bhī ā.eñgeye din agar bure haiñ to achchhe bhī ā.eñge
  10. shām hote hī charāġhoñ ko bujhā detā hūñdil hī kāfī hai tirī yād meñ jalne ke liye
  11. shahr meñ mazdūr jaisā dar badar koī nahīñjis ne sab ke ghar banā.e os kā ghar koī nahīñ
  12. e.id ā.ī tum na ā.e kyā mazā hai e.id kāe.id hī to nām hai ik dūsre kī dīd kā
  13. e.id ke ba.ad vo milne ke liye ā.e haiñe.id kā chānd nazar āne lagā e.id ke ba.ad
  14. aish ke yār to aġhyār bhī ban jāte haiñdost vo haiñ jo bure vaqt meñ kām āte haiñ
  15. ġham vo mai ḳhāna kamī jis meñ nahīñdil vo paimāna hai bhartā hī nahīñ
  16. farishte hashr meñ pūchheñge pāk bāzoñ segunāh kyūñ na kiye kyā ḳhudā ġhafūr na thā
  17. kitābeñ bhī bilkul merī tarah haiñalfāz se bharpūr magar ḳhāmosh
  18. kuchh ḳhushiyāñ kuchh ānsū de kar ṭāl gayājīvan kā ik aur sunahrā sāl gayā
  19. kisī ko kaise batā.eñ zarūrateñ apnīmadad mile na mile ābrū to jātī hai
  20. kaisī tartīb se kāġhaz pe gire haiñ ānsūek bhūlī huī tasvīr ubhar ā.ī hai
  21. guzar to jā.egī tere baġhair bhī lekinbahut udās bahut be qarār guzregī
  22. gūnjte rahte haiñ alfāz mire kānoñ meñtū to ārām se kah detā hai allāh hāfiz
  23. log kānṭoñ se bach ke chalte haiñmaiñ ne phūloñ se zaḳhm khā.e haiñ
  24. māñgī thī ek bār duā ham ne maut kīsharminda āj tak haiñ miyāñ zindagī se ham
  25. mujh ko chhā.oñ meñ rakhā aur ḳhud bhī vo jaltā rahāmaiñ ne dekhā ik farishta bāp kī parchhā.īñ meñ
  26. mil ke hotī thī kabhī e.id bhī dīvālī bhīab ye hālat hai ke ḍar ḍar ke gale milte haiñ
  27. maut se kyūñ itnī vahshat jān kyūñ itnī azīzmaut āne ke liye hai jān jāne ke liye
  28. maiñ apne sāth rahtā hūñ hameshaakelā hūñ magar tanhā nahīñ hūñ
  29. ham ne us ko itnā dekhā jitnā dekhā jā saktā thālekin phir bhī do ānkhoñ se kitnā dekhā jā saktā thā
  30. ye be ḳhudī ye laboñ kī hañsī mubārak hotumheñ ye sālgira kī ḳhushī mubārak ho
  31. ye to ik rasm-e-jahāñ hai jo adā hotī haivarna sūraj kī kahāñ sālgira hotī hai
  32. ye hameñ haiñ ke tirā dard chhupā kar dil meñkām duniyā ke ba dastūr kiye jāte haiñ