Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Unknown

نامعلوم

Poems

  1. ab maiñ samjhā tire ruḳhsār pe til kā matlabdaulat-e-husn pe darbān biṭhā rakhā hai
  2. is bharose pe kar rahā hūñ gunāhbaḳhsh denā to terī fitrat hai
  3. un ke hone se baḳht hote haiñbāp ghar ke daraḳht hote haiñ
  4. ek bose ke talab gār haiñ hamaur māñgeñ to gunah gār haiñ ham
  5. ai āsmān tere ḳhudā kā nahīñ hai ḳhaufḍarte haiñ ai zamīn tire ādmī se ham
  6. be chain is qadar thā ke soyā na rāt bharpalkoñ se likh rahā thā tirā nām chānd par
  7. palkoñ kī had ko toṛ ke dāman pe ā girāik ashk mere sabr kī tauhīn kar gayā
  8. pītā hūñ jitnī itnī hī baṛhtī hai tishnagīsāqī ne jaise pyās milā dī sharāb meñ
  9. paimāna kahe hai koī mai ḳhāna kahe haiduniyā tirī ānkhoñ ko bhī kyā kyā na kahe hai
  10. tum hañso to din nikle chup raho to rāteñ haiñkis kā ġham kahāñ kā ġham sab fuzūl bāteñ haiñ
  11. tanhā.iyāñ tumhārā pata pūchhtī raheñshab bhar tumhārī yād ne sone nahīñ diyā
  12. jān lenī thī sāf kah detekyā zarūrat thī muskurāne kī
  13. jin ke kirdār se ātī ho sadāqat kī mahakun kī tadrīs se patthar bhī pighal sakte haiñ
  14. chehra khulī kitāb hai unvān jo bhī dojis ruḳh se bhī paṛhoge mujhe jān jā.oge
  15. hasīn chehre kī tābindagī mubārak hotujhe ye sālgira kī ḳhushī mubārak ho
  16. ḳhudā kare na ḍhale dhūp tere chehra kītamām umr tirī zindagī kī shām na ho
  17. dil ṭūṭne se thoṛī sī taklīf to huīlekin tamām umr ko ārām ho gayā
  18. dil meñ tūfān ho gayā barpātum ne jab muskurā ke dekh liyā
  19. duniyā meñ vahī shaḳhs hai ta.azīm ke qābiljis shaḳhs ne hālāt kā ruḳh moṛ diyā ho
  20. dostī ḳhvāb hai aur ḳhvāb kī ta.abīr bhī hairishta-e-ishq bhī hai yād kī zanjīr bhī hai
  21. dekhā na koh kin koī farhād ke baġhairātā nahīñ hai fan koī ustād ke baġhair
  22. dekhā hilāl-e-e.id to āyā terā ḳhayālvo āsmāñ kā chānd hai to merā chānd hai
  23. zāhid sharāb pīne de masjid meñ baiṭh karyā vo jagah batā de jahāñ par ḳhudā na ho
  24. zindagī ke udās lamhoñ meñbe vafā dost yād āte haiñ
  25. zindagī yūñ hī bahut kam hai mohabbat ke liyerūṭh kar vaqt gañvāne kī zarūrat kyā hai
  26. salīqe se havā.oñ meñ jo ḳhushbū ghol sakte haiñabhī kuchh log bāqī haiñ jo urdū bol sakte haiñ
  27. sunā hai terī mahfil meñ sukūn-e-dil bhī miltā haimagar ham jab tirī mahfil se ā.e be qarār ā.e
  28. shāḳheñ raheñ to phūl bhī patte bhī ā.eñgeye din agar bure haiñ to achchhe bhī ā.eñge
  29. shām hote hī charāġhoñ ko bujhā detā hūñdil hī kāfī hai tirī yād meñ jalne ke liye
  30. shahr meñ mazdūr jaisā dar badar koī nahīñjis ne sab ke ghar banā.e os kā ghar koī nahīñ
  31. e.id ā.ī tum na ā.e kyā mazā hai e.id kāe.id hī to nām hai ik dūsre kī dīd kā
  32. e.id ke ba.ad vo milne ke liye ā.e haiñe.id kā chānd nazar āne lagā e.id ke ba.ad
  33. aish ke yār to aġhyār bhī ban jāte haiñdost vo haiñ jo bure vaqt meñ kām āte haiñ
  34. ġham vo mai ḳhāna kamī jis meñ nahīñdil vo paimāna hai bhartā hī nahīñ
  35. farishte hashr meñ pūchheñge pāk bāzoñ segunāh kyūñ na kiye kyā ḳhudā ġhafūr na thā
  36. kitābeñ bhī bilkul merī tarah haiñalfāz se bharpūr magar ḳhāmosh
  37. kuchh ḳhushiyāñ kuchh ānsū de kar ṭāl gayājīvan kā ik aur sunahrā sāl gayā
  38. kisī ko kaise batā.eñ zarūrateñ apnīmadad mile na mile ābrū to jātī hai
  39. kaisī tartīb se kāġhaz pe gire haiñ ānsūek bhūlī huī tasvīr ubhar ā.ī hai
  40. guzar to jā.egī tere baġhair bhī lekinbahut udās bahut be qarār guzregī
  41. gūnjte rahte haiñ alfāz mire kānoñ meñtū to ārām se kah detā hai allāh hāfiz
  42. log kānṭoñ se bach ke chalte haiñmaiñ ne phūloñ se zaḳhm khā.e haiñ
  43. māñgī thī ek bār duā ham ne maut kīsharminda āj tak haiñ miyāñ zindagī se ham
  44. mujh ko chhā.oñ meñ rakhā aur ḳhud bhī vo jaltā rahāmaiñ ne dekhā ik farishta bāp kī parchhā.īñ meñ
  45. mil ke hotī thī kabhī e.id bhī dīvālī bhīab ye hālat hai ke ḍar ḍar ke gale milte haiñ
  46. maut se kyūñ itnī vahshat jān kyūñ itnī azīzmaut āne ke liye hai jān jāne ke liye
  47. maiñ apne sāth rahtā hūñ hameshaakelā hūñ magar tanhā nahīñ hūñ
  48. ham ne us ko itnā dekhā jitnā dekhā jā saktā thālekin phir bhī do ānkhoñ se kitnā dekhā jā saktā thā
  49. ye be ḳhudī ye laboñ kī hañsī mubārak hotumheñ ye sālgira kī ḳhushī mubārak ho
  50. ye to ik rasm-e-jahāñ hai jo adā hotī haivarna sūraj kī kahāñ sālgira hotī hai