Poet
Taban Abdul Hai
تاباں عبد الحی1715–1749
Poems
- تو کون ہے اے واعظ جو مجھ کو ڈراتا ہےمیں کی بھی ہیں تو کی ہیں اللہ کی تقصیریںtū kaun hai ai vā.iz jo mujh ko ḍarātā haimaiñ kī bhī haiñ to kī haiñ allāh kī taqsīreñ
- حرم کو چھوڑ رہوں کیوں نہ بت کدے میں شیخکہ یاں ہر ایک کو ہے مرتبہ خدائی کاharam ko chhoṛ rahūñ kyūñ na but kade meñ shaiḳhke yāñ har ek ko hai martaba ḳhudā.ī kā
- خدا دیوے اگر قدرت مجھے تو ضد ہے زاہد کیجہاں تک مسجدیں ہیں میں بناؤں توڑ بت خانہḳhudā deve agar qudrat mujhe to zid hai zāhid kījahāñ tak masjideñ haiñ maiñ banā.ūñ toṛ but ḳhāna
- دیکھ قاصد کو مرے یار نے پوچھا تاباںؔکیا مرے ہجر میں جیتا ہے وہ غم ناک ہنوزdekh qāsid ko mire yār ne pūchhā tābāñkyā mire hijr meñ jītā hai vo ġham nāk hanoz
- زاہد ترا تو دین سراسر فریب ہےرشتے سے تیرے سبحہ کے زنار ہی بھلاzāhid tirā to dīn sarāsar fareb hairishte se tere sub.ha ke zunnār hī bhalā
- صحبت شیخ میں تو رات کو جایا مت کروہ سکھا دے گا تجھے جان نماز معکوسsohbat shaiḳh meñ to rāt ko jāyā mat karvo sikhā degā tujhe jān namāz-e-ma.akūs
- کرتا ہے گر تو بت شکنی تو سمجھ کے کرشاید کہ ان کے پردے میں زاہد خدا بھی ہوkartā hai gar to but shikanī to samajh ke karshāyad ke un ke parde meñ zāhid ḳhudā bhī ho
- کس کس طرح کی دل میں گزرتی ہیں حسرتیںہے وصل سے زیادہ مزا انتظار کاkis kis tarah kī dil meñ guzartī haiñ hasrateñhai vasl se ziyāda mazā intizār kā
- لے میری خبر چشم مرے یار کی کیوں کربیمار عیادت کرے بیمار کی کیوں کرle merī ḳhabar chashm mire yār kī kyūñ karbīmār ayādat kare bīmār kī kyūñ kar
- محفل کے بیچ سن کے مرے سوز دل کا حالبے اختیار شمع کے آنسو ڈھلک پڑےmahfil ke bīch sun ke mire soz-e-dil kā hālbe iḳhtiyār sham.a ke ānsū ḍhalak paṛe
- ملوں ہوں خاک جوں آئینہ منہ پرتری صورت مجھے آتی ہے جب یادmilūñ hūñ ḳhāk jūñ ā.īna muñh partirī sūrat mujhe ātī hai jab yād