Poet
Shah Naseer
شاہ نصیر1756–1838
Poems
- بعد مجنوں کیوں نہ ہوں میں کار فرمائے جنوںعشق کی سرکار سے ملبوس رسوائی ملاba.ad majnūñ kyūñ na hūñ maiñ kār farmā.e junūñishq kī sarkār se malbūs-e-rusvā.ī milā
- دل عشق خوش قداں میں جو خواہان نالہ تھانالے سے میرے کیا ہے ہوائی کو ہم سریdil ishq ḳhush qadāñ meñ jo ḳhvāhān nāla thānāle se mere kyā hai havā.ī ko ham sirī
- زلف چھٹتی ترے رخ پر تو دل اپنا پھرتاگھر کو بے شام نہیں صبح کا بھولا پھرتاzulf chhuṭṭī tire ruḳh par to dil apnā phirtāghar ko be shām nahīñ sub.h kā bhūlā phirtā
- گو سیہ بخت ہوں پر یار لبھا لیتا ہےشکل سایہ کے مجھے ساتھ لگا لیتا ہےgo siyah baḳht hūñ par yār lubhā letā haishakl-e-sāya ke mujhe sāth lagā letā hai
- نہ کیوں کہ اشک مسلسل ہو رہنما دل کاطریق عشق میں جاری ہے سلسلہ دل کاna kyūñ ke ashk-e-musalsal ho rahnumā dil kātarīq-e-ishq meñ jārī hai silsila dil kā
- ہار بنا ان پارۂ دل کا مانگ نہ گجرا پھولوں کااور کہاں سے عاشق مفلس لائے یہ گہنہ پھولوں کاhār banā un pāra-e-dil kā māñg na gajrā phūloñ kāaur kahāñ se āshiq muflis lā.e ye gahna phūloñ kā