Poet
Qamar Jalalvi
1887–1968
Poems
- ایسے میں وہ ہوں باغ ہو ساقی ہو اے قمرؔلگ جائیں چار چاند شب ماہتاب میںaise meñ vo hūñ bāġh ho sāqī ho ai qamarlag jā.eñ chār chānd shab-e-māhtāb meñ
- بڑھا بڑھا کے جفائیں جھکا ہی دو گے کمرگھٹا گھٹا کے قمرؔ کو ہلال کر دو گےbaṛhā baṛhā ke jafā.eñ jhukā hī doge kamarghaṭā ghaṭā ke qamar ko hilāl kar doge
- تم میں جو بات ہے وہ بات نہیں آئی ہےکیا یہ تصویر کسی اور سے کھنچوائی ہےtum meñ jo bāt hai vo bāt nahīñ ā.ī haikyā ye tasvīr kisī aur se khiñchvā.ī hai
- تیرے قربان قمرؔ منہ سر گلزار نہ کھولصدقے اس چاند سی صورت پہ نہ ہو جائے بہارtere qurbān qamar muñh sar-e-gulzār na kholsadqe is chānd sī sūrat pe na ho jā.e bahār
- جگر کا داغ چھپاؤ قمرؔ خدا کے لئےستارے ٹوٹتے ہیں ان کے دیدۂ نم سےjigar kā dāġh chhupā.o qamar ḳhudā ke liyesitāre ṭūṭṭe haiñ un ke dīda-e-nam se
- جلوہ گر بزم حسیناں میں ہیں وہ اس شان سےچاند جیسے اے قمرؔ تاروں بھری محفل میں ہےjalva gar bazm-e-hasīnāñ meñ haiñ vo is shān sechānd jaise ai qamar tāroñ bharī mahfil meñ hai
- ذرا روٹھ جانے پہ اتنی خوشامدقمرؔ تم بگاڑو گے عادت کسی کیzarā rūṭh jāne pe itnī ḳhushāmadqamar tum bigāṛoge ādat kisī kī
- روشن ہے میرا نام بڑا نامور ہوں میںشاہد ہیں آسماں کے ستارے قمر ہوں میںraushan hai merā nām baṛā nāmvar hūñ maiñshāhid haiñ āsmāñ ke sitāre qamar hūñ maiñ
- روئیں گے دیکھ کر سب بستر کی ہر شکن کووہ حال لکھ چلا ہوں کروٹ بدل بدل کرroeñge dekh kar sab bistar kī har shikan kovo hāl likh chalā hūñ karvaṭ badal badal kar
- سرمے کا تل بنا کے رخ لا جواب میںنقطہ بڑھا رہے ہو خدا کی کتاب میںsurme kā til banā ke ruḳh lā javāb meñnuqta baṛhā rahe ho ḳhudā kī kitāb meñ
- شب کو مرا جنازہ جائے گا یوں نکل کررہ جائیں گے سحر کو دشمن بھی ہاتھ مل کرshab ko mirā janāza jā.egā yūñ nikal karrah jā.eñge sahar ko dushman bhī hāth mal kar
- شکریہ اے قبر تک پہنچانے والو شکریہاب اکیلے ہی چلے جائیں گے اس منزل سے ہمshukriya ai qabr tak pahunchāne vālo shukriyaab akele hī chale jā.eñge is manzil se ham
- قمرؔ اپنے داغ دل کی وہ کہانی میں نے چھیڑیکہ سنا کئے ستارے مرا رات بھر فسانہqamar apne dāġh-e-dil kī vo kahānī maiñ ne chheṛīke sunā kiye sitāre mirā rāt bhar fasāna
- قمرؔ افشاں چنی ہے رخ پہ اس نے اس سلیقہ سےستارے آسماں سے دیکھنے کو آئے جاتے ہیںqamar afshāñ chunī hai ruḳh pe us ne is salīqa sesitāre āsmāñ se dekhne ko ā.e jāte haiñ
- قمرؔ کسی سے بھی دل کا علاج ہو نہ سکاہم اپنا داغ دکھاتے رہے زمانے کوqamar kisī se bhī dil kā ilāj ho na sakāham apnā dāġh dikhāte rahe zamāne ko
- مجھے میرے مٹنے کا غم ہے تو یہ ہےتمہیں بے وفا کہہ رہا ہے زمانہmujhe mere miṭne kā ġham hai to ye haitumheñ be vafā kah rahā hai zamāna
- مدتیں ہوئیں اب تو جل کے آشیاں اپناآج تک یہ عالم ہے روشنی سے ڈرتا ہوںmuddateñ huīñ ab to jal ke āshiyāñ apnāāj tak ye ālam hai raushnī se ḍartā hūñ
- میں ان سب میں اک امتیازی نشاں ہوں فلک پر نمایاں ہیں جتنے ستارےقمرؔ بزم انجم کی مجھ کو میسر صدارت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہےmaiñ un sab meñ ik imtiyāzī nishāñ hūñ falak par numāyāñ haiñ jitne sitāreqamar bazm anjum kī mujh ko muyassar sadārat nahīñ hai to phir aur kyā hai
- نزع کی اور بھی تکلیف بڑھا دی تم نےکچھ نہ بن آیا تو آواز سنا دی تم نےnaza.a kī aur bhī taklīf baṛhā dī tum nekuchh na ban āyā to āvāz sunā dī tum ne
- نشیمن خاک ہونے سے وہ صدمہ دل کو پہنچا ہےکہ اب ہم سے کوئی بھی روشنی دیکھی نہیں جاتیnasheman ḳhāk hone se vo sadma dil ko pahuñchā haike ab ham se koī bhī raushnī dekhī nahīñ jātī
- وہ چار چاند فلک کو لگا چلا ہوں قمرؔکہ میرے بعد ستارے کہیں گے افسانےvo chār chānd falak ko lagā chalā hūñ qamarke mere ba.ad sitāre kaheñge afsāne
- ہر وقت محویت ہے یہی سوچتا ہوں میںکیوں برق نے جلایا مرا آشیاں نہ پوچھhar vaqt mahviyyat hai yahī sochtā hūñ maiñkyūñ barq ne jalāyā mirā āshiyāñ na pūchh