Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Idris Babar

b. 1973

Poems

Meter
  1. āj to jaise din ke sāth dil bhī ġhurūb ho gayāshām kī chā.e bhī ga.ī maut ke ḍar ke sāth sāth
  2. ab to mushkil hai kisī aur kā honā mire dosttū mujhe aise huā jaise karonā mire dost
  3. phūl hai jo kitāb meñ asl hai ke ḳhvāb haius ne is iztirāb meñ kuchh na paṛhā likhā to phir
  4. tamām dost alā.o ke gard jam.a the aurhar ek apnī kahānī sunāne vālā thā
  5. tū bhī ho maiñ bhī hūñ ik jagah pe aur vaqt bhī hoitnī gunjā.isheñ rakhtī nahīñ duniyā mire dost!
  6. ṭūṭ saktā hai chhalak saktā hai chhin saktā haiitnā soche to koī jām uchhāle kaise
  7. ٹینشن سے مرے گا نہ کرونے سے مرے گااک شخص ترے پاس نہ ہونے سے مرے گا
  8. ḳhudkushī bhī nahīñ mire bas meñlog bas yūñ hī mujh se ḍarte haiñ
  9. dil kī ik ek ḳharābī kā sabab jānte haiñphir bhī mumkin hai ke ham tum se muravvat kar jā.eñ
  10. dhūl uṛtī hai to yād ātā hai kuchhmiltā jaltā thā labāda merā
  11. reg dil meñ ka.ī nādīda parinde bhī haiñ dafnsochte hoñge ke dariyā kī ziyārat kar jā.eñ
  12. mar gayā ḳhās taur par maiñ bhījis tarah ām log marte haiñ
  13. maut uktā chukī rīharsal meñroz do chār shaḳhs marte haiñ
  14. maiñ jinheñ yād hūñ ab tak yahī kahte hoñgeshāhzāda kabhī nākām nahīñ ā saktā
  15. vo bahut dūr hai magar mire pāsek hī samt kā karāyā hai
  16. vahī ḳhvāb hai vahī bāġh hai vahī vaqt haimagar is meñ us ke baġhair jī nahīñ lag rahā
  17. ye kiran kahīñ mire dil meñ āg lagā na deye muā.ina mujhe sarsarī nahīñ lag rahā