Poet
Hafeez Jalandhari
حفیظ جالندھری1900–1982
Poems
- آنے والے کسی طوفان کا رونا رو کرنا خدا نے مجھے ساحل پہ ڈبونا چاہاāne vāle kisī tūfān kā ronā ro karnā ḳhudā ne mujhe sāhil pe ḍubonā chāhā
- پھر دے کے خوشی ہم اسے ناشاد کریں کیوںغم ہی سے طبیعت ہے اگر شاد کسی کیphir de ke ḳhushī ham use nāshād kareñ kyūñġham hī se tabī.at hai agar shād kisī kī
- تصور میں بھی اب وہ بے نقاب آتے نہیں مجھ تکقیامت آ چکی ہے لوگ کہتے ہیں شباب آیاtasavvur meñ bhī ab vo be naqāb āte nahīñ mujh takqayāmat ā chukī hai log kahte haiñ shabāb āyā
- جس نے اس دور کے انسان کیے ہیں پیداوہی میرا بھی خدا ہو مجھے منظور نہیںjis ne is daur ke insān kiye haiñ paidāvahī merā bhī ḳhudā ho mujhe manzūr nahīñ
- حفیظؔ اپنی بولی محبت کی بولینہ اردو نہ ہندی نہ ہندوستانیhafīz apnī bolī mohabbat kī bolīna urdū na hindī na hindostānī
- دوستوں کو بھی ملے درد کی دولت یا ربمیرا اپنا ہی بھلا ہو مجھے منظور نہیںdostoñ ko bhī mile dard kī daulat yā rabmerā apnā hī bhalā ho mujhe manzūr nahīñ
- عاشق سا بد نصیب کوئی دوسرا نہ ہومعشوق خود بھی چاہے تو اس کا بھلا نہ ہوāshiq sā bad nasīb koī dūsrā na homa.ashūq ḳhud bhī chāhe to us kā bhalā na ho
- مری مجبوریاں کیا پوچھتے ہوکہ جینے کے لیے مجبور ہوں میںmirī majbūriyāñ kyā pūchhte hoke jīne ke liye majbūr hūñ maiñ
- مرے ڈوب جانے کا باعث نہ پوچھوکنارے سے ٹکرا گیا تھا سفینہmire ḍūb jāne kā bā.is na pūchhokināre se ṭakrā gayā thā safīna
- ناصح کو بلاؤ مرا ایمان سنبھالےپھر دیکھ لیا اس نے اسی ایک نظر سےnāseh ko bulā.o mirā īmān sambhālephir dekh liyā us ne usī ek nazar se
- وفا جس سے کی بے وفا ہو گیاجسے بت بنایا خدا ہو گیاvafā jis se kī be vafā ho gayājise but banāyā ḳhudā ho gayā
- ہاتھ رکھ رکھ کے وہ سینے پہ کسی کا کہنادل سے درد اٹھتا ہے پہلے کہ جگر سے پہلےhāth rakh rakh ke vo sīne pe kisī kā kahnādil se dard uṭhtā hai pahle ke jigar se pahle
- ہاں میں تو لیے پھرتا ہوں اک سجدۂ بیتابان سے بھی تو پوچھو وہ خدا ہیں کہ نہیں ہیںhāñ maiñ to liye phirtā hūñ ik sajda-e-betābun se bhī to pūchho vo ḳhudā haiñ ke nahīñ haiñ