Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Habeeb Moosavi

حبیب موسوی

Poems

  1. asl sābit hai vahī shar.a kā ik parda haidāne tasbīh ke sab phirte haiñ zunnāroñ par
  2. butān-e-sarv qāmat kī mohabbat meñ na phal pāyāriyāzat jin pe kī barsoñ vo naḳhl-e-be samar nikle
  3. bahut dinoñ meñ vo ā.e haiñ vasl kī shab haimuazzin āj na yā rab uṭhe azāñ ke liye
  4. pilā sāqī mai-e-gul rang phir kālī ghaṭā ā.īchhupāne ko gunah mastoñ ke ka.aba kī ridā ā.ī
  5. jā sake na masjid tak jam.a the bahut zāhidmaikade meñ ā baiṭhe jab na rāstā pāyā
  6. jab ke vahdat hai bā.is-e-kasratek hai sab kā rāstā vā.iz
  7. jo le lete ho yūñ har ek kā dil bātoñ bātoñ meñbatā.o sach ye chālākī tumheñ kis ne sikhā.ī thī
  8. ḳhudā kare kahīñ mai ḳhāna kī taraf na muṛevo mohtasib kī savārī fareb-e-rāh rukī
  9. dasht-o-sahrā meñ hasīñ phirte haiñ ghabrā.e hueāj kal ḳhāna-e-ummīd hai vīrāñ kis kā
  10. dil meñ bharī hai ḳhāk meñ milne kī ārzūḳhākistarī huā hai hamārī qabā kā rang
  11. rindoñ ko va.az pand na kar fasl-e-gul meñ shaiḳhaisā na ho sharāb uṛe ḳhānqāh meñ
  12. sham.a kā shāna-e-iqbāl hai taufīq-e-karamġhuncha gul hote hī ḳhud sāhab-e-zar hotā hai
  13. tālib-e-bosa hūñ maiñ qāsid vo haiñ ḳhvāhān jānye zarā sī bāt hai milte hī tai ho jā.egī
  14. ġhurbat bas ab tarīq-e-mohabbat ko qat.a karmuddat huī hai ahl-e-vatan se judā hue
  15. qadmoñ pe ḍar ke rakh diyā sar tāke uṭh na jā.eñnārāz dil lagī meñ jo vo ik zarā hue
  16. karo bāteñ haṭā.o ā.īna bas ban chuke gesūunheñ jhagṛūñ hī meñ us din bhī kitnī rāt ā.ī thī
  17. kisī sūrat se huī kam na hamārī tashvīshjab baṛhī dil se to āfāq meñ phailī tashvīsh
  18. کسی ہیں بھبتیاں مسجد میں ریش واعظ پرکہیں نہ میری طبیعت خدا گواہ رکی
  19. kyā huā vīrāñ kyā gar mohtasib ne mai kadajam.a phir kal shām tak har ek shai ho jā.egī
  20. lab-e-jāñ baḳhsh tak jā kar rahe mahrūm-e-bosa seham is pānī ke pyāse the jo taṛapitā hai sāhil par
  21. likh kar muqatta.āt meñ deñ un ko arziyāñjo dā.ire the kāsa-e-dast-e-gadā hue
  22. mohtasib tū ne kyā gar jām-e-sahbā pāsh pāshjubba-o-ammāma ham kar deñge sārā pāsh pāsh
  23. maikade ko jā ke dekh ā.ūñ ye hasrat dil meñ haizāhid is miṭṭī kī ulfat merī āb-o-gul meñ hai
  24. mai kada hai shaiḳh sāhab ye koī masjid nahīñāp shāyad ā.e haiñ rindoñ ke bahkā.e hue
  25. nāseh ye va.az-o-pand hai be kār jā.egāham se bhī bāda kash haiñ kahīñ pārsā hue
  26. yūñ ātī haiñ ab mere tanaffus kī sadā.eñjis tarah se detā hai koī nauha gar āvāz