Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Habeeb Ahmad Siddiqui

b. 1908

Poems

Meter
  1. āp sharminda jafā.oñ pe na hūñjin pe guzrī thī vahī bhūl ga.e
  2. āshnā jab tak na thā us kī nigāh-e-lutf sevārdāt-e-qalb ko husn-e-bayāñ samjhā thā maiñ
  3. ab bahut dūr nahīñ manzil dostka.abe se chand qadam aur sahī
  4. ab to jo shai hai mirī nazroñ meñ hai nāpā.īdāryād āyā maiñ ke ġham ko jāvedāñ samjhā thā maiñ
  5. apne dāman meñ ek tār nahīñaur sārī bahār bāqī hai
  6. iz.hār-e-ġham kyā thā ba ummīd iltifātkyā pūchhte ho kitnī nadāmat hai āj tak
  7. ik fasl-e-gul ko le ke tahī dast kyā kareñā.ī hai fasl-e-gul to garebāñ bhī chāhiye
  8. ek ka.aba ke sanam toṛe to kyānasl-o-millat ke sanam ḳhāne bahut
  9. batā.e kaun kisī ko nishān-e-manzil zīstabhī to hujjat bāham hai rah guzar ke liye
  10. basad adā-e-dilbarī hai iltijā-e-mai kashīye hosh ab kise ke mai harām yā halāl hai
  11. taslīm hai sa.ādat hosh-o-ḳhirad magarjīne ke vāste dil nādāñ bhī chāhiye
  12. tag-o-tāz paiham hai mīrās ādammire muntazir kuchh jahāñ aur bhī haiñ
  13. jab koī fitna-e-ayyām nahīñ hotā haizindagī kā baṛī mushkil se yaqīñ hotā hai
  14. jis ke vāste barsoñ sa.ī-e-rā.īgāñ kī haiab use bhulāne kī sa.ī-e-rā.īgāñ kar leñ
  15. jo kām karne haiñ is meñ na chāhiye tāḳhīrkabhī payām-e-ajal nāgahāñ bhī ātā hai
  16. chashm-e-sayyād pe har lahza nazar rakhtā haihā.e vo said jo kahne ko tah-e-dām nahīñ
  17. ra.anā.ī-e-bahār pe the sab fareftaafsos koī mahram-e-rāz ḳhizāñ na thā
  18. āfiyat kī umīd kyā ke abhīdil-e-umīdvār bāqī hai
  19. faiz-e-ayyām-e-bahār ahl-e-qafas kyā jāneñchand tinke the nasheman ke jo ham tak pahuñche
  20. kabhī be kalī kabhī be dilī hai ajīb ishq kī zindagīkabhī ġhuncha pe jāñ fidā kabhī gulistāñ se ġharaz nahīñ
  21. kitne sanam ḳhud ham ne tarāshezauq-e-parastish allāh akbar
  22. guloñ se itnī bhī vābastagī nahīñ achchhīrahe ḳhayāl ke ahd-e-ḳhizāñ bhī ātā hai
  23. mujh ko ehsās rang-o-bū na huāyūñ bhī aksar bahār ā.ī hai
  24. maut ke ba.ad bhī marne pe na rāzī honāyahī ehsās to sarmāya-e-dīñ hotā hai
  25. mere liye jīne kā sahārā hai abhī takvo ahd-e-tamannā ke tumheñ yād na hogā
  26. nigāh-e-lutf ko ulfat shi.ār samjhe thezarā se ḳhanda-e-gul ko bahār samajhte the
  27. na ho kuchh aur to vo dil atā hobahal jā.e jo sa.ī-e-rā.īgāñ se
  28. vo bhalā kaise batā.e ke ġham hijr hai kyājis ko āġhosh-e-mohabbat kabhī hāsil na huā
  29. vo karam ho ke sitam ek ta.alluq hai zarūrkoī to dard-e-mohabbat kā amīñ hotā hai
  30. hā.e bedād mohabbat ke ye aiñ barbādīham ko ehsās-e-ziyāñ bhī to nahīñ hotā hai
  31. har qadam par hai ehtisāb amalik qayāmat pe inhisār nahīñ
  32. hazāroñ tamannā.oñ ke ḳhūñ se ham neḳharīdī hai ik tohmat pārsā.ī
  33. hai naved-e-bahār har lab parkam nasīboñ ko etibār nahīñ
  34. yā der hai yā ka.aba hai yā kū-e-butāñ haiai ishq tirī fitrat-e-āzād kahāñ hai
  35. ye mehr-o-māh-o-kavākib kī bazm-e-lā mahdūdsalā-e-da.avat-e-parvāz hai bashar ke liye