Poet
Brij Mohan Dattatreya Kaifi
برجموہن دتاتریہ کیفی1866–1955
Poems
- اردو ہے جس کا نام ہماری زبان ہےدنیا کی ہر زبان سے پیاری زبان ہےurdū hai jis kā nām hamārī zabān haiduniyā kī har zabān se pyārī zabān hai
- اصل وحدت کی بنا ہے عدم غیریتاس کا جب رنگ جما غیر کو اپنا جاناasl-e-vahdat kī banā hai adam-e-ġhairiyyatus kā jab rang jamā ġhair ko apnā jānā
- بادبانوں میں بھری ہے اس کے کیا باد نفسکشتئ عمر رواں کو تاب لنگر کی نہیںbādbānoñ meñ bharī hai us ke kyā bād-e-nafaskashtī-e-umr-e-ravāñ ko tāb langar kī nahīñ
- بول اٹھتی کبھی چڑیا جو تری انگیا کیخوشنوائی کی نہ یوں جیتتی بلبل پالیbol uṭhtī kabhī chiṛiyā jo tirī angiyā kīḳhushnavā.ī kī na yūñ jīttī bulbul pālī
- تلخ کہتے تھے لو اب پی کے تو بولو زاہدہاتھ آئے ادھر استاد مزا ہے کہ نہیںtalḳh kahte the lo ab pī ke to bolo zāhidhāth ā.e idhar ustād mazā hai ke nahīñ
- جو چشم دل ربا کے وصف میں اشعار لکھتا ہوںتو ہر ہر لفظ پر اہل نظر اک صاد کرتے ہیںjo chashm-e-dil rubā ke vasf meñ ash.ār likhtā hūñto har har lafz par ahl-e-nazar ik sād karte haiñ
- سچ ہے ان دونوں کا ہے اک عالممیری تنہائی تیری یکتائیsach hai in donoñ kā hai ik ālammerī tanhā.ī terī yaktā.ī
- شمع رویوں کی محبت کا جو دم بھرتے ہیںایک مدت وہ ابھی بیعت پروانہ کریںsham.a raviyoñ kī mohabbat kā jo dam bharte haiñek muddat vo abhī bai.at parvāna kareñ
- عقدۂ قسمت نہیں کھلتا مرایہ بھی ترا بند قبا ہو گیاuqda-e-qismat nahīñ khultā mirāye bhī tirā band-e-qabā ho gayā
- وصل کا کرتا ہوں جب ذکر ان سےاک تبسم تہ لب کرتے ہیںvasl kā kartā hūñ jab zikr un seik tabassum tah lab karte haiñ
- وضو ہوتا ہے یاں تو شیخ اسی آب گلابی سےتیمم کے لئے تم خاک جا کر دشت میں پھانکوvuzū hotā hai yāñ to shaiḳh isī āb-e-gulābī setayammum ke liye tum ḳhāk jā kar dasht meñ phānko
- یوں آؤ مرے پہلو میں تم گھر سے نکل کربو آتی ہے جس طرح گل تر سے نکل کرyūñ ā.o mire pahlū meñ tum ghar se nikal karbū ātī hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar