Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Daood Mohsin

b. 1962

Poems

Meter
  1. itne fareb khā.e haiñ qurbat meñ yār kīmohsin fareb aur bhī khāyā na jā.egā
  2. afsāna dard-o-ġham kā sunāyā na jā.egāab zaḳhm-e-dil kisī ko dikhāyā na jā.egā
  3. bāt tere nām kī hone lagīdil meñ mere sansanī hone lagī
  4. rifāqatoñ kā jahāñ tār tār dekhā haivajūd zīst kā uṛtā ġhubār dekhā hai
  5. zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar dāġh-e-tamannā kī qasamchānd se phūl se ḍar ham ko yahāñ hotā hai
  6. zindagī ṭūṭ ke bikhrī hai sar rāh abhīhādisa kahiye use yā ke tamāshā kahiye
  7. sāre jahāñ meñ qisse ye mashhūr ho ga.ebhā.ī hamāre munkir-e-dastūr ho ga.e
  8. zabt kī thī shart dil se jāne kyūñlamha lamha bekalī hone lagī
  9. kitnā ajīb tar hai aqīda janāb kāpatthar kī mūratoñ se vafā māñg rahe ho
  10. kaun apnā hai yahāñ kaun parāyā kahiyekaun detā hai bhalā dukh meñ sahārā kahiye
  11. lamha lamha pukāre jāte haiñkaun dil ke qarīb āte haiñ
  12. masnadeñ taḳht-o-tāj dastāreñkaun kis ke liye luṭāte haiñ
  13. maiñ chāhtā hūñ tumheñ apnī zindagī kī tarahmire vajūd pe chhā jā.o chāndnī kī tarah
  14. nahīñ hai pās kisī kā kisī ko ai mohsinke āzmā ke unheñ bār bār dekhā hai
  15. har ek shām sañvar jā.egī mirī mohsinhar ek bāt tumhārī hai shāyarī kī tarah
  16. har taraf dard kā āhoñ kā samāñ hotā haipānī jaltā hai samundar meñ dhuāñ hotā hai