Poet
Chandu Lal Bahadur Shadan
چندو لعل بہادر شادان1763–1845
Poems
- آنکھ سے پردہ نہ کر پردے کا گھر یہ بھی تو ہےتو تو دیکھے ہم نہ دیکھیں طرفہ تر یہ بھی تو ہےānkh se parda na kar parde kā ghar ye bhī to haitū to dekhe ham na dekheñ turfa tar ye bhī to hai
- بہار چشم ترے حسن کی بہار سے لوںشمیم لوں تو تری زلف مشکبار سے لوںbahār chashm tire husn kī bahār se lūñshamīm lūñ to tirī zulf mushkbār se lūñ
- مثل گل کھل کہ یہ غنچہ دہنی خوب نہیںبات کر ہم سے بھی کچھ کم سخنی خوب نہیںmisl-e-gul khul ke ye ġhuncha dahnī ḳhūb nahīñbāt kar ham se bhī kuchh kam suḳhanī ḳhūb nahīñ
- آتا نہیں جو سامنے مارے حجاب کےہم دل سے ہیں نثار اسی آفتاب کےātā nahīñ jo sāmne māre hijāb keham dil se haiñ nisār isī āftāb ke
- بھروسہ ہے ترا ہی اور ہے تیرے سوا کس کانہ دیوے آسرا جب تو مجھے ہو آسرا کس کاbharosa hai tirā hī aur hai tere sivā kis kāna deve āsrā jab to mujhe ho āsrā kis kā
- جب غنچے نے سر اپنا گریباں سے نکالابلبل نے قدم پھر نہ گلستاں سے نکالاjab ġhunche ne sar apnā garebāñ se nikālābulbul ne qadam phir na gulistāñ se nikālā
- جلوہ گر تھا ہر جگہ کعبہ تھا یا بت خانہ تھاگھر ہزاروں تھے مگر وہ ایک صاحب خانہ تھاjalva gar thā har jagah ka.aba thā yā but ḳhāna thāghar hazāroñ the magar vo ek sāhab ḳhāna thā
- حیراں تھا کہ دل میرا کہاں جا کے چھپا ہےجگنو کی طرح یار کی دستار میں چمکاhairāñ thā ke dil merā kahāñ jā ke chhupā haijugnū kī tarah yār kī dastār meñ chamkā
- نور تھا یا شعلہ تھا یا برق یا خورشید تھاکچھ تو اے موسیٰ کہو کیا تھا وہ جلوہ طور کاnūr thā yā shola thā yā barq yā ḳhurshīd thākuchh to ai mūsā kaho kyā thā vo jalva tūr kā
- نیکی کا کوئی کام ہی آیا نہیں مجھ سےکیا ہووے گا انجام مرا کچھ نہیں معلومnekī kā koī kām hī āyā nahīñ mujh sekyā hove gā anjām mirā kuchh nahīñ ma.alūm