Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Chakbast Brij Narayan

برج نرائن چکبست

1882–1926

Poems

  1. agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotāna kuchh marne kā ġham hotā na jīne kā mazā hotā
  2. unheñ ye fikr hai har dam na.ī tarz-e-jafā kyā haihameñ ye shauq hai dekheñ sitam kī intihā kyā hai
  3. dard-e-dil pās-e-vafā jazba-e-īmāñ honāādmiyyat hai yahī aur yahī insāñ honā
  4. dil kiye tasḳhīr baḳhshā faiz-e-rūhānī mujhehub-e-qaumī ho gayā naqsh-e-sulaimānī mujhe
  5. zabāñ ko band kareñ yā mujhe asīr kareñmire ḳhayāl ko beṛī panhā nahīñ sakte
  6. fanā kā hosh ānā zindagī kā dard-e-sar jānāajal kyā hai ḳhumār-e-bāda-e-hastī utar jānā
  7. fanā nahīñ hai mohabbat ke rang-o-bū ke liyebahār-e-ālam-e-fānī rahe rahe na rahe
  8. kabhī thā nāz zamāna ko apne hind pe bhīpar ab urūj vo ilm-o-kamāl-o-fan meñ nahīñ
  9. kuchh aisā pās ġhairat uṭh gayā is ahd pur fan meñke zevar ho gayā tauq-e-ġhulāmī apnī gardan meñ
  10. mirī be ḳhudī hai vo be ḳhudī kahīñ ḳhudī kā vahm-o-gumāñ nahīñye surūr sāġhar-e-mai nahīñ ye ḳhumār ḳhvāb-e-girāñ nahīñ
  11. na koī dost dushman ho sharīk-e-dard-o-ġham merāsalāmat merī gardan par rahe bār-e-alam merā
  12. na.e jhagṛe nirālī kāvisheñ ījād karte haiñvatan kī ābrū ahl-e-vatan barbād karte haiñ
  13. ham sochte haiñ rāt meñ tāroñ ko dekh karshameñ zamīn kī haiñ jo dāġh āsmāñ ke haiñ