Poet
Aanis Moin
1960–1986
Poems
- آج ذرا سی دیر کو اپنے اندر جھانک کر دیکھا تھاآج مرا اور اک وحشی کا ساتھ رہا پل دو پل کاāj zarā sī der ko apne andar jhāñk kar dekhā thāāj mirā aur ik vahshī kā sāth rahā pal do pal kā
- آخر کو روح توڑ ہی دے گی حصار جسمکب تک اسیر خوشبو رہے گی گلاب میںāḳhir ko rūh toṛ hī degī hisār-e-jismkab tak asīr-e-ḳhushbū rahegī gulāb meñ
- اتارا دل کے ورق پر تو کتنا پچھتایاوہ انتساب جو پہلے بس اک کتاب پہ تھاutārā dil ke varaq par to kitnā pachhtāyāvo intisāb jo pahle bas ik kitāb pe thā
- اندر کی دنیا سے ربط بڑھاؤ آنسؔباہر کھلنے والی کھڑکی بند پڑی ہے
- بدن کی اندھی گلی تو جائے امان ٹھہریمیں اپنے اندر کی روشنی سے ڈرا ہوا ہوںbadan kī andhī galī to jā.e amān ṭhahrīmaiñ apne andar kī raushnī se ḍarā huā hūñ
- بکھر کے پھول فضاؤں میں باس چھوڑ گیاتمام رنگ یہیں آس پاس چھوڑ گیاbikhar ke phūl fazā.oñ meñ bās chhoṛ gayātamām rang yahīñ ās pās chhoṛ gayā
- تمہارے نام کے نیچے کھنچی ہوئی ہے لکیرکتاب زیست ہے سادہ اس اندراج کے بعدtumhāre nām ke nīche khiñchī huī hai lakīrkitāb-e-zīst hai sāda is indirāj ke ba.ad
- حیرت سے جو یوں میری طرف دیکھ رہے ہولگتا ہے کبھی تم نے سمندر نہیں دیکھاhairat se jo yūñ merī taraf dekh rahe holagtā hai kabhī tum ne samundar nahīñ dekhā
- درکار تحفظ ہے پہ سانس بھی لینا ہےدیوار بناؤ تو دیوار میں در رکھناdarkār tahaffuz hai pe sāns bhī lenā haidīvār banā.o to dīvār meñ dar rakhnā
- عجب انداز سے یہ گھر گرا ہےمرا ملبہ مرے اوپر گرا ہےajab andāz se ye ghar girā haimirā malba mire ūpar girā hai
- گونجتا ہے بدن میں سناٹاکوئی خالی مکان ہو جیسےgūnjtā hai badan meñ sannāṭākoī ḳhālī makān ho jaise
- گہری سوچیں لمبے دن اور چھوٹی راتیںوقت سے پہلے دھوپ سروں پہ آ پہنچیgahrī socheñ lambe din aur chhoṭī rāteñvaqt se pahle dhūp saroñ pe ā pahuñchī
- گیا تھا مانگنے خوشبو میں پھول سے لیکنپھٹے لباس میں وہ بھی گدا لگا مجھ کوgayā thā māñgne ḳhushbū meñ phūl se lekinphaṭe libās meñ vo bhī gadā lagā mujh ko
- گئے زمانے کی چاپ جن کو سمجھ رہے ہووہ آنے والے اداس لمحوں کی سسکیاں ہیںga.e zamāne kī chāp jin ko samajh rahe hovo āne vāle udās lamhoñ kī siskiyāñ haiñ
- ممکن ہے کہ صدیوں بھی نظر آئے نہ سورجاس بار اندھیرا مرے اندر سے اٹھا ہےmumkin hai ke sadiyoñ bhī nazar ā.e na sūrajis bār andherā mire andar se uṭhā hai
- میں اپنی ذات کی تنہائی میں مقید تھاپھر اس چٹان میں اک پھول نے شگاف کیاmaiñ apnī zāt kī tanhā.ī meñ muqayyad thāphir is chaṭān meñ ik phūl ne shigāf kiyā
- نہ جانے باہر بھی کتنے آسیب منتظر ہوںابھی میں اندر کے آدمی سے ڈرا ہوا ہوںna jāne bāhar bhī kitne āseb muntazir hūñabhī maiñ andar ke ādmī se ḍarā huā hūñ
- ہزاروں قمقموں سے جگمگاتا ہے یہ گھر لیکنجو من میں جھانک کے دیکھوں تو اب بھی روشنی کم ہےhazāroñ qumqumoñ se jagmagātā hai ye ghar lekinjo man meñ jhāñk ke dekhūñ to ab bhī raushnī kam hai
- ہماری مسکراہٹ پر نہ جانادیا تو قبر پر بھی جل رہا ہےhamārī muskurāhaṭ par na jānādiyā to qabr par bhī jal rahā hai
- یاد ہے آنسؔ پہلے تم خود بکھرے تھےآئینے نے تم سے بکھرنا سیکھا تھا