Poem of the day · Ghazal
Sheikh Ibrahim Zauq
1790–1854ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ke mar jā.eñgemar ke bhī chain na pāyā to kidhar jā.eñgetum ne ṭhahrā.ī agar ġhair ke ghar jāne kīto irāde yahāñ kuchh aur ṭhahar jā.eñgeḳhālī ai chāragaro hoñge bahut marham-dāñpar mire zaḳhm nahīñ aise ke bhar jā.eñgepahuñcheñge rahguzar-e-yār talak kyūñ kar hampahle jab tak na do ālam se guzar jā.eñge4 of 13 shersRead the whole ghazal