Poet
Waseem Barelvi
وسیم بریلویb. 1940
Poems
- آسماں اتنی بلندی پہ جو اتراتا ہےبھول جاتا ہے زمیں سے ہی نظر آتا ہےāsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā haibhūl jātā hai zamīñ se hī nazar ātā hai
- اسی خیال سے پلکوں پہ رک گئے آنسوتری نگاہ کو شاید ثبوت غم نہ ملےisī ḳhayāl se palkoñ pe ruk ga.e ānsūtirī nigāh ko shāyad subūt ġham na mile
- ان سے کہہ دو مجھے خاموش ہی رہنے دے وسیمؔلب پہ آئے گی تو ہر بات گراں گزرے گیun se kah do mujhe ḳhāmosh hī rahne de vasīmlab pe ā.egī to har bāt girāñ guzregī
- بہت سے خواب دیکھو گے تو آنکھیںتمہارا ساتھ دینا چھوڑ دیں گیbahut se ḳhvāb dekhoge to ānkheñtumhārā sāth denā chhoṛ deñgī
- پھول تو پھول ہیں آنکھوں سے گھرے رہتے ہیںکانٹے بیکار حفاظت میں لگے رہتے ہیںphūl to phūl haiñ ānkhoñ se ghire rahte haiñkānṭe bekār hifāzat meñ lage rahte haiñ
- تجھے پانے کی کوشش میں کچھ اتنا کھو چکا ہوں میںکہ تو مل بھی اگر جائے تو اب ملنے کا غم ہوگاtujhe pāne kī koshish meñ kuchh itnā kho chukā hūñ maiñke tū mil bhī agar jā.e to ab milne kā ġham hogā
- تم میری طرف دیکھنا چھوڑو تو بتاؤںہر شخص تمہاری ہی طرف دیکھ رہا ہےtum merī taraf dekhnā chhoṛo to batā.ūñhar shaḳhs tumhārī hī taraf dekh rahā hai
- جھوٹ کے آگے پیچھے دریا چلتے ہیںسچ بولا تو پیاسا مارا جائے گاjhūṭ ke āge pīchhe dariyā chalte haiñsach bolā to pyāsā mārā jā.egā
- رات تو وقت کی پابند ہے ڈھل جائے گیدیکھنا یہ ہے چراغوں کا سفر کتنا ہےrāt to vaqt kī pāband hai ḍhal jā.egīdekhnā ye hai charāġhoñ kā safar kitnā hai
- سبھی رشتے گلابوں کی طرح خوشبو نہیں دیتےکچھ ایسے بھی تو ہوتے ہیں جو کانٹے چھوڑ جاتے ہیںsabhī rishte gulāboñ kī tarah ḳhushbū nahīñ detekuchh aise bhī to hote haiñ jo kānṭe chhoṛ jāte haiñ
- غم اور ہوتا سن کے گر آتے نہ وہ وسیمؔاچھا ہے میرے حال کی ان کو خبر نہیںġham aur hotā sun ke gar āte na vo vasīmachchhā hai mere hāl kī un ko ḳhabar nahīñ
- کچھ ہے کہ جو گھر دے نہیں پاتا ہے کسی کوورنہ کوئی ایسے تو سفر میں نہیں رہتاkuchh hai ke jo ghar de nahīñ pātā hai kisī kovarna koī aise to safar meñ nahīñ rahtā
- کسی سے کوئی بھی امید رکھنا چھوڑ کر دیکھوتو یہ رشتہ نبھانا کس قدر آسان ہو جائےkisī se koī bhī ummīd rakhnā chhoṛ kar dekhoto ye rishta nibhānā kis qadar āsān ho jā.e
- کوئی اشارہ دلاسا نہ کوئی وعدہ مگرجب آئی شام ترا انتظار کرنے لگےkoī ishāra dilāsā na koī va.ada magarjab ā.ī shām tirā intizār karne lage
- مجھے پڑھتا کوئی تو کیسے پڑھتامرے چہرے پہ تم لکھے ہوئے تھےmujhe paṛhtā koī to kaise paṛhtāmire chehre pe tum likhe hue the
- محبت میں بچھڑنے کا ہنر سب کو نہیں آتاکسی کو چھوڑنا ہو تو ملاقاتیں بڑی کرناmohabbat meñ bichhaṛne kā hunar sab ko nahīñ ātākisī ko chhoṛnā ho to mulāqāteñ baṛī karnā
- مسلسل حادثوں سے بس مجھے اتنی شکایت ہےکہ یہ آنسو بہانے کی بھی تو مہلت نہیں دیتےmusalsal hādsoñ se bas mujhe itnī shikāyat haike ye ānsū bahāne kī bhī to mohlat nahīñ dete
- میں اس کو آنسوؤں سے لکھ رہا ہوںکہ میرے بعد کوئی پڑھ نہ پائےmaiñ us ko ānsūoñ se likh rahā hūñke mere ba.ad koī paṛh na pā.e
- میں بولتا گیا ہوں وہ سنتا رہا خاموشایسے بھی میری ہار ہوئی ہے کبھی کبھیmaiñ boltā gayā hūñ vo suntā rahā ḳhāmoshaise bhī merī hār huī hai kabhī kabhī
- میں جن دنوں ترے بارے میں سوچتا ہوں بہتانہیں دنوں تو یہ دنیا سمجھ میں آتی ہےmaiñ jin dinoñ tire bāre meñ sochtā hūñ bahutunheñ dinoñ to ye duniyā samajh meñ ātī hai
- میں نے چاہا ہے تجھے عام سے انساں کی طرحتو مرا خواب نہیں ہے جو بکھر جائے گاmaiñ ne chāhā hai tujhe ām se insāñ kī tarahtū mirā ḳhvāb nahīñ hai jo bikhar jā.egā
- نہ پانے سے کسی کے ہے نہ کچھ کھونے سے مطلب ہےیہ دنیا ہے اسے تو کچھ نہ کچھ ہونے سے مطلب ہےna pāne se kisī ke hai na kuchh khone se matlab haiye duniyā hai use to kuchh na kuchh hone se matlab hai
- وہ جھوٹ بول رہا تھا بڑے سلیقے سےمیں اعتبار نہ کرتا تو اور کیا کرتاvo jhūṭ bol rahā thā baṛe salīqe semaiñ etibār na kartā to aur kiyā kartā
- وہ دن گئے کہ محبت تھی جان کی بازیکسی سے اب کوئی بچھڑے تو مر نہیں جاتاvo din ga.e ke mohabbat thī jān kī bāzīkisī se ab koī bichhṛe to mar nahīñ jātā
- ہر شخص دوڑتا ہے یہاں بھیڑ کی طرفپھر یہ بھی چاہتا ہے اسے راستا ملےhar shaḳhs dauṛtā hai yahāñ bhīṛ kī tarafphir ye bhī chāhtā hai use rāstā mile
- ہم یہ تو نہیں کہتے کہ ہم تجھ سے بڑے ہیںلیکن یہ بہت ہے کہ ترے ساتھ کھڑے ہیںham ye to nahīñ kahte ke ham tujh se baṛe haiñlekin ye bahut hai ke tire sāth khaṛe haiñ