Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Vikas Sharma Raaz

b. 1973

Poems

Meter
  1. irāda to nahīñ hai ḳhudkushī kāmagar maiñ zindagī se ḳhush nahīñ hūñ
  2. ek kiran phir mujh ko vāpas khīñch ga.īmaiñ bas jism se bāhar āne vālā thā
  3. bichhaṛne kā hameñ imkān to thāmagar ab din muqarrar ho gayā hai
  4. pujārī haiñ azal se mīr jī kevahī ham haiñ vahī qashqa hamārā
  5. tanhā hotā hūñ to mar jātā hūñ maiñmere andar to zinda ho jātā hai
  6. tū bhī nārāz bahut hai mujh sezindagī tujh se ḳhafā hūñ maiñ bhī
  7. jin kā sūjhā na kuchh javāb hameñin savāloñ pe hañs diye ham log
  8. dekhnā chāhtā hūñ gum ho karkyā koī ḍhūñḍ ke lātā hai mujhe
  9. zarā sā dhyān kyā bhaṭkā hamārāhameñ par ā girā malba hamārā
  10. roz ye ḳhvāb ḍarātā hai mujhekoī sāya liye jātā hai mujhe
  11. sabhī ko rāsta batā diyā gayāyūñ manziloñ kā qad ghaṭā diyā gayā
  12. ishq bīnā.ī baṛhā detā haijāne kyā kyā nazar ātā hai mujhe
  13. ghar se niklā thā ḳhudkushī karnerel ke ḍabbe gin rahā hūñ maiñ
  14. ghar meñ vahī pīlī tanhā.ī rahtī haidīvāroñ ke rang badalte rahte haiñ
  15. mohabbat ke ādāb sīkho zarāuse jān kah kar pukārā karo
  16. merī koshish to yahī hai ke ye ma.asūm raheaur dil hai ke samajh dār huā jātā hai
  17. maiñ to kisī julūs meñ gayā nahīñmirā makān kyūñ jalā diyā gayā
  18. maiñ adam kī panāh gāh meñ hūñchhū bhī saktī nahīñ hayāt mujhe
  19. yahāñ tak kar liyā masrūf ḳhud koakelī ho ga.ī tanhā.ī merī
  20. ye sadā kāsh usī ne dī hois tarah vo hī bulātā hai mujhe