Poet
Raaz Yazdani
1908–1963
Poems
- احساس بندگی سے بیگانہ کر دیا ہےافراط بندگی نے دیوانہ کر دیا ہےehsās-e-bandagī se begāna kar diyā haiifrāt bandagī ne dīvāna kar diyā hai
- اس در کی سی راحت بھی دو عالم میں کہیں ہےجینا بھی یہیں ہے مجھے مرنا بھی یہیں ہےus dar kī sī rāhat bhī do ālam meñ kahīñ haijīnā bhī yahīñ hai mujhe marnā bhī yahīñ hai
- سوچئے ہم سے تغافل بھی بجا ہے کہ نہیںکہ یہی مقصد ارباب فنا ہے کہ نہیںsochiye ham se taġhāful bhī bajā hai ke nahīñke yahī maqsad-e-arbāb-e-fanā hai ke nahīñ
- نہیں کہ اپنی تباہی کا رازؔ کو غم ہےتمہاری زحمت عہد کرم کا ماتم ہےnahīñ ke apnī tabāhī kā rāz ko ġham haitumhārī zahmat ahd-e-karam kā mātam hai
- اگر گناہ کے قصے بھی کہہ دیئے تجھ سےگناہ گار کو یا رب ثواب کیا ہوگاagar gunāh ke qisse bhī kah diye tujh segunāh gār ko yā rab savāb kyā hogā
- ٹھہر کے تلووں سے کانٹے نکالنے والےیہ ہوش ہے تو جنوں کامیاب کیا ہوگاṭhahar ke talvoñ se kānṭe nikālne vāleye hosh hai to junūñ kāmyāb kyā hogā
- سزا کے جھیلنے والے یہ سوچنا ہے گناہکوئی قصور بھی تجھ سے کبھی ہوا کہ نہیںsazā ke jhelne vāle ye sochnā hai gunāhkoī qusūr bhī tujh se kabhī huā ke nahīñ
- وہ سامنے سر منزل چراغ جلتے ہیںجواب پاؤں نہ دیتے تو میں کہاں ہوتاvo sāmne sar-e-manzil charāġh jalte haiñjavāb pā.oñ na dete to maiñ kahāñ hotā