اس در کی سی راحت بھی دو عالم میں کہیں ہے
Raaz Yazdani (1908–1963)اس در کی سی راحت بھی دو عالم میں کہیں ہے
جینا بھی یہیں ہے مجھے مرنا بھی یہیں ہے
اب واقف مفہوم وفا قلب حزیں ہے
اب آپ کی بیداد بھی بیداد نہیں ہے
تم اور مری خانہ خرابی پہ تبسم
امید سے بڑھ کر ابھی قدر دل و دیں ہے
یا تیرے سوا حسن ہی دنیا میں نہیں تھا
یا دیکھ رہا ہوں کہ جو منظر ہے حسیں ہے
یہ زیست ہے یا موت سمجھ میں نہیں آتا
اب درد ہے اور درد کی تکلیف نہیں ہے
us dar ki si rahat bhi do alam mein kahin hai
jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai
ab waqif mafhum-e-wafa qalb-e-hazin hai
ab ap ki bedad bhi bedad nahin hai
tum aur miri khana kharabi pe tabassum
ummid se barh kar abhi qadar-e-dil-o-din hai
ya tere siwa husn hi duniya mein nahin tha
ya dekh raha hun ke jo manzar hai hasin hai
ye zist hai ya maut samajh mein nahin ata
ab dard hai aur dard ki taklif nahin hai