Poet
Hafeez Merathi
1922–2000
Poems
- اب کھل کے کہو بات تو کچھ بات بنے گییہ دور اشارات و کنایات نہیں ہےab khul ke kaho bāt to kuchh bāt banegīye daur ishārāt-o-kanāyāt nahīñ hai
- ابھی سے ہوش اڑے مصلحت پرستوں کےابھی میں بزم میں آیا ابھی کہاں بولاabhī se hosh uṛe maslahat parastoñ keabhī maiñ bazm meñ āyā abhī kahāñ bolā
- اک اجنبی کے ہاتھ میں دے کر ہمارا ہاتھلو ساتھ چھوڑنے لگا آخر یہ سال بھیik ajnabī ke hāth meñ de kar hamārā hāthlo sāth chhoṛne lagā āḳhir ye sāl bhī
- بد تر ہے موت سے بھی غلامی کی زندگیمر جائیو مگر یہ گوارا نہ کیجیوbad tar hai maut se bhī ġhulāmī kī zindagīmar jā.iyo magar ye gavārā na kījiyo
- رات کو رات کہہ دیا میں نےسنتے ہی بوکھلا گئی دنیاrāt ko rāt kah diyā maiñ nesunte hī baukhlā ga.ī duniyā
- رسا ہوں یا نہ ہوں نالے یہ نالوں کا مقدر ہےحفیظؔ آنسو بہا کر جی تو ہلکا کر لیا میں نےrasā hūñ yā na hūñ nāle ye nāloñ kā muqaddar haihafīz ānsū bahā kar jī to halkā kar liyā maiñ ne
- رنگ آنکھوں کے لیے بو ہے دماغوں کے لیےپھول کو ہاتھ لگانے کی ضرورت کیا ہےrang ānkhoñ ke liye bū hai dimāġhoñ ke liyephūl ko hāth lagāne kī zarūrat kyā hai
- شیخ قاتل کو مسیحا کہہ گئےمحترم کی بات کو جھٹلائیں کیاshaiḳh qātil ko masīhā kah ga.emohtaram kī bāt ko jhuṭlā.eñ kyā
- صرف زباں کی نقالی سے بات نہ بن پائے گی حفیظؔدل پر کاری چوٹ لگے تو میرؔ کا لہجہ آئے ہےsirf zabāñ kī naqqālī se bāt na ban pā.egī hafīzdil par kārī choṭ lage to mīr kā lahja ā.e hai
- کیا جانے کیا سبب ہے کہ جی چاہتا ہے آجروتے ہی جائیں سامنے تم کو بٹھا کے ہمkyā jāne kyā sabab hai ke jī chāhtā hai ājrote hī jā.eñ sāmne tum ko biṭhā ke ham
- محبت چیخ بھی خاموشی بھی نغمہ بھی نعرہ بھییہ اک مضمون ہے کتنے ہی عنوانوں سے وابستہmohabbat chīḳh bhī ḳhāmoshī bhī naġhma bhī na.ara bhīye ik mazmūn hai kitne hī unvānoñ se vābasta
- ہر سہارا بے عمل کے واسطے بیکار ہےآنکھ ہی کھولے نہ جب کوئی اجالا کیا کرےhar sahārā be amal ke vāste bekār haiānkh hī khole na jab koī ujālā kyā kare
- یہ بھی تو سوچئے کبھی تنہائی میں ذرادنیا سے ہم نے کیا لیا دنیا کو کیا دیاye bhī to sochiye kabhī tanhā.ī meñ zarāduniyā se ham ne kyā liyā duniyā ko kyā diyā