Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Hafeez Hoshiarpuri

1912–1973

Poems

  1. ab yahī mere mashāġhil rah ga.esochnā aur jānib-e-dar dekhnā
  2. tirī talāsh meñ jab ham kabhī nikalte haiñik ajnabī kī tarah rāste badalte haiñ
  3. tirī talāsh hai yā tujh se ijtināb hai yeke roz ek na.e rāste pe chalte haiñ
  4. tire jāte hī ye ālam hai jaisetujhe dekhe zamāna ho gayā hai
  5. tamām umr kyā ham ne intizār bahārbahār ā.ī to sharminda haiñ bahār se ham
  6. jab kabhī ham ne kiyā ishq pashemān huezindagī hai to abhī aur pashemāñ hoñge
  7. jalva be bāk adā shoḳh tamāshā gustāḳhuṭh ga.e bazm se ādāb-e-nazar mere ba.ad
  8. dil meñ ik shor sā uṭhā thā kabhīphir ye hangāma umr bhar hī rahā
  9. duniyā meñ haiñ kām bahutmujh ko itnā yād na ā
  10. dostī ām hai lekin ai dostdost miltā hai baṛī mushkil se
  11. ġham zindagānī ke sab silsilebilāḳhir ġham-e-ishq se jā mile
  12. nazar se had-e-nazar tak tamām tārīkīye ehtimām hai ik va.ada-e-sahar ke liye
  13. ham ko manzil ne bhī gumrāh kiyārāste nikle ka.ī manzil se
  14. ye bāt kah ke huā nāḳhudā alag mujh seye hai safīna ye girdāb hai vo hai sāhil
  15. ye tamīz ishq-o-havas nahīñ hai haqīqatoñ se gurez haijinheñ ishq se sarokār hai vo zarūr ahl-e-havas bhī haiñ
  16. ye dil kashī kahāñ mirī shām-o-sahar meñ thīduniyā tirī nazar kī badaulat nazar meñ hai