Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

غلام یحییٰ حضورعظیم آبادی

Poems

Meter
  1. ābrū ulfat meñ agar chāhiyerakhnī sadā chashm ko tar chāhiye
  2. ānkhoñ kā ḳhudā hī hai ye ānsū kī hai gar maujkashtī bachche kyūñ kar jo rahe āṭh pahar mauj
  3. ā.īna hai ye jahāñ is meñ jamāl apnā haisūrat-e-ġhair kahāñ hai ye ḳhayāl apnā hai
  4. us shoḳh se kyā kījiye iz.hār-e-tamannāye log koī sunte haiñ guftār-e-tamannā
  5. ashk ānkhoñ ke andar na rahā hai na rahegāye tifl hai abtar na rahā hai na rahegā
  6. ba.ad makīñ makāñ kā gar bām rahā to kyā huāāp hī jab rahe nahīñ nām rahā to kyā huā
  7. ṭuk dekhiyo ye abrū-e-ḳham dār vahī haikushta hūñ maiñ jis kā so ye tarvār vahī hai
  8. jab se gayā hai vo mirā īmān-e-zindagīkāfir ho jis ke dil meñ ho armān-e-zindagī
  9. jo yūñ āp beron-e-dar jā.eñgeḳhudā jāne kis kis ke ghar jā.eñge
  10. jahāñ meñ kahāñ bāham ulfat rahī haimagar sirf sāhab salāmat rahī hai
  11. dil ba az ka.aba hai yārāñ jubba sā.ī chāhiyehai ḳhudā kā ghar yahī lekin safā.ī chāhiye
  12. shajar bāġh-e-jahāñ kā thā jahāñ tak sab samar lāyāmagar ik naḳhl āh is meñ na ham ne kuchh asar pāyā
  13. umr ga.ī ulfat-e-zar jī se ilāhī na ga.īmū safed ho ga.e par dil kī siyāsī na ga.ī
  14. ġhair ā.e pīchhe pā ga.e mujre kā bār pahleham āh baiṭhe rah ga.e ā.e hazār pahle
  15. kyā rafū karne lagā hai jā bhī nādāñ yak tarafphaṭ chalī chhātī koī dam meñ garebāñ yak taraf
  16. gulizār aur bhī yūñ rakhte haiñ rang aur namakpar mire yār ke chehre kā sā ḍhang aur namak
  17. mujh se muṛne kī naiñ kisī ro sechashm rakhtā hūñ terī abrū se
  18. mahzoñ na ho huzūr ab ātā hai yār apnākartā hai fazl tujh par parvardigār apnā
  19. har shajar ke ta.īñ hotā hai samar se paivandāh ko kyūñ nahīñ hotā hai asar se paivand
  20. yūñ to dil har kadum rakhtā haiahl-e-dil honā kām rakhtā hai
  21. ye dil hī jalva gāh hai is ḳhush ḳhirām kādekhā to sirf nām hai bīt alharām kā