Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Faheem Jogapuri

Poems

Meter
  1. band kamre meñ tirā dard na bujh jā.e kahīñkhiṛkiyāñ khol ke ye āg huā chāhtī hai
  2. tumhārī yād se ye rāt kitnī raushan hainazar meñ itne haiñ jugnū ke ham ginā.eñ kiyā
  3. kitne tūfānoñ se ham uljhe tujhe ma.alūm kyāpeṛ ke dukh dard kā phūloñ se andāza na kar
  4. kisī ke dar pe sajda karte kartefahīm aisā na ho sar ṭūṭ jā.e
  5. marghuṭ path par dekh ke ham ko jāne kyā kyā socheñ voānkhoñ se kyā panya kamā.e honṭoñ se kyā dān hue
  6. milan ke ba.ad ātī hai judā.īnarak bhī svarg se kitnā nakuṭ hai
  7. na bāt dil kī sinoñ meñ na dil sune merīye sard jang hai apne hī ik mushīr ke sāth
  8. vāqif kahāñ zamāna hamārī uṛān sevo aur the jo hār ga.e āsmān se
  9. ham ahl ġham ko hiqārat se dekhne vālotumhārī nā.o unheñ ānsūoñ se chaltī hai