Poet
Zaheer Dehlvi
ظہیر دہلوی1835–1911
Poems
- مرادیں کوئی پاتا ہے کسی کی جان جاتی ہےہزاروں دیکھنے والے تری چتون کے بیٹھے ہیںmurādeñ koī pātā hai kisī kī jān jātī haihazāroñ dekhne vāle tirī chitvan ke baiṭhe haiñ
- آج تک کوئی نہ ارمان ہمارا نکلاکیا کرے کوئی تمہارا رخ زیبا لے کرāj tak koī na armān hamārā niklākyā kare koī tumhārā ruḳh-e-zebā le kar
- آخر ملے ہیں ہاتھ کسی کام کے لئےپھاڑے اگر نہ جیب تو پھر کیا کرے کوئیāḳhir mile haiñ hāth kisī kām ke liyephāṛe agar na jeb to phir kyā kare koī
- بجھاؤں کیا چراغ صبح گاہیمرے گھر شام ہونی ہے سحر سےbujhā.ūñ kyā charāġh-e-sub.h gāhīmire ghar shām honī hai sahar se
- چاہت کا جب مزا ہے کہ وہ بھی ہوں بے قراردونوں طرف ہو آگ برابر لگی ہوئیchāhat kā jab mazā hai ke vo bhī hūñ be qarārdonoñ taraf ho āg barābar lagī huī
- حسن کی گرمئ بازار الٰہی توبہآگ سی آگ برستی ہے خریداروں پرhusn kī garmī-e-bāzār-e-ilāhī taubaāg sī āg barastī hai ḳharīdāroñ par
- سب کچھ ملا ہمیں جو ترے نقش پا ملےہادی ملے دلیل ملے رہنما ملےsab kuchh milā hameñ jo tire naqsh-e-pā milehādī mile dalīl mile rahnumā mile
- سر پہ احسان رہا بے سر و سامانی کاخار صحرا سے نہ الجھا کبھی دامن اپناsar pe ehsān rahā be sar-o-sāmānī kāḳhār-e-sahrā se na uljhā kabhī dāman apnā
- شرکت گناہ میں بھی رہے کچھ ثواب کیتوبہ کے ساتھ توڑیئے بوتل شراب کیshirkat gunāh meñ bhī rahe kuchh savāb kītauba ke sāth toṛiye botal sharāb kī
- عشق ہے عشق تو اک روز تماشا ہوگاآپ جس منہ کو چھپاتے ہیں دکھانا ہوگاishq hai ishq to ik roz-e-tamāshā hogāāp jis muñh ko chhupāte haiñ dikhānā hogā
- کس کا ہے جگر جس پہ یہ بیداد کرو گےلو دل تمہیں ہم دیتے ہیں کیا یاد کرو گےkis kā hai jigar jis pe ye bedād karogelo dil tumheñ ham dete haiñ kyā yād karoge
- کوئی پوچھے تو سہی ہم سے ہماری رودادہم تو خود شوق میں افسانہ بنے بیٹھے ہیںkoī pūchhe to sahī ham se hamārī rūdādham to ḳhud shauq meñ afsāna bane baiṭhe haiñ
- گدگدایا جو انہیں نام کسی کا لے کرمسکرانے لگے وہ منہ پہ دوپٹہ لے کرgudgudāyā jo unheñ nām kisī kā le karmuskurāne lage vo muñh pe dupaṭṭa le kar
- ہے لطف تغافل میں یا جی کے جلانے میںوعدہ تو کیا ہوتا گو وہ نہ وفا ہوتاhai lutf-e-taġhāful meñ yā jī ke jalāne meñva.ada to kiyā hotā go vo na vafā hotā
- یہاں دیکھوں وہاں دیکھوں اسے دیکھوں اسے دیکھوںتمہاری خود نمائی نے مجھے ڈالا ہے حیرت میںyahāñ dekhūñ vahāñ dekhūñ use dekhūñ use dekhūñtumhārī ḳhud numā.ī ne mujhe ḍālā hai hairat meñ