Poet
Latif Shah Shahid
b. 1968
Poems
- اشتیاق رقص میں حد سے نکلتے جا رہےدائرے کو کھینچ کر اوقات میں لانا پڑاishtiyāq-e-raqs meñ had se nikalte jā rahedā.ire ko khīñch kar auqāt meñ lānā paṛā
- باندھ کے عہد وفا لوگ چلے جاتے ہیںچھوڑ جاتے ہیں فقط جسم کی الجھی گانٹھیںbāñdh ke ahd-e-vafā log chale jāte haiñchhoṛ jāte haiñ faqat jism kī uljhī gānṭheñ
- پڑھتا ہے بڑے شوق سے وہ میری کتابیںجس بات سے ڈرتا ہوں وہی بات نہ پڑھ لےpaṛhtā hai baṛe shauq se vo merī kitābeñjis bāt se ḍartā hūñ vahī bāt na paṛh le
- تازہ ہوا خریدنے آتے ہیں گاؤں میںشاہدؔ شہر کے لوگ بھی کیسے عجیب ہیںtāza huā ḳharīdne āte haiñ gā.oñ meñshāhid shahr ke log bhī kaise ajīb haiñ
- تکلم ہم سے کرتا ہے تو یوں جیسے شہنشہ کومحبت کا کوئی نسخہ قلندر پیش کرتا ہےtakallum ham se kartā hai to yūñ jaise shahnasha komohabbat kā koī nusḳha qalandar pesh kartā hai
- جانے ہیں کس حسین تعلق کی یادگارمجھ کو بہت عزیز ہیں میری یہ وحشتیںjāne haiñ kis hasīn ta.alluq kī yādgārmujh ko bahut azīz haiñ merī ye vahshateñ
- چھڑکا گیا ہے زہر فضاؤں میں اس طرحماؤں نے اپنی کوکھ سے بوڑھے جنم دئےchhiṛkā gayā hai zahr fazā.oñ meñ is tarahmā.oñ ne apnī kokh se būṛhe janam diye
- خود اپنے آپ سے رہتا ہے آدمی ناراضاداسیوں کے بھی اپنے مزاج ہوتے ہیںḳhud apne āp se rahtā hai ādmī nārāzudāsiyoñ ke bhī apne mizāj hote haiñ
- دوسروں کی بات آئی تو پیمبر تھا وہ شخصاپنی باری پر محبت سے ہی مرتد ہو گیاdūsroñ kī bāt ā.ī to payambar thā vo shaḳhsapnī bārī par mohabbat se hī murtad ho gayā
- ریل کی پٹری فسردہ شام تیرا سوٹ کیسپھر سے آنکھوں میں ترے جانے کا منظر آ گیاrel kī paṭrī fasurda shām terā sūṭ kesphir se ānkhoñ meñ tire jāne kā manzar ā gayā
- غم کو احساس کی مٹی میں خدا نے گوندھااور کچھ اشک ملائے تو پھر انسان کیاġham ko ehsās kī miṭṭī meñ ḳhudā ne gūndhāaur kuchh ashk milā.e to phir insān kiyā
- گردش ایام سے چلتی ہے نبض کائناتوقت کا پہیہ رکا تو زندگی رک جائے گیgardish-e-ayyām se chaltī hai nabz-e-kā.inātvaqt kā pahiyya rukā to zindagī ruk jā.egī
- مجھ سے تو کوئی تاج محل بھی نہ بن سکابے نام دل کی قبر میں دفنا دیا تجھےmujh se to koī tāj mahal bhī na ban sakābe nām dil kī qabr meñ dafnā diyā tujhe
- مجھ سے لپٹا ہے امربیل کے مانند کوئیمجھ کو بے برگ نہ کرتا تو ثمر دیتا کیاmujh se lipṭā hai amarbel ke mānind koīmujh ko be barg na kartā to samar detā kiyā
- مجھے خاموشیاں پڑھنے کا فن آتا تو پڑھ لیتاتمہاری جھیل سی خاموش آنکھوں کی پشیمانیmujhe ḳhāmoshiyāñ paṛhne kā fan ātā to paṛh letātumhārī jhīl sī ḳhāmosh ānkhoñ kī pashemānī
- محبت روپ میں ڈھلتی تو وہ اک دیوتا ہوتامیں اس کو پوجنے لگتا اگر وہ با وفا ہوتاmohabbat rūp meñ ḍhaltī to vo ik devtā hotāmaiñ us ko pūjne lagtā agar vo bā vafā hotā
- مری آنکھوں میں کیلیں ٹھونک دو ہونٹوں کو سلوا دوبصیرت جرم ہے میرا صداقت میری عادت ہےmirī ānkhoñ meñ kīleñ ṭhonk do honṭoñ ko silvā dobasīrat jurm hai merā sadāqat merī ādat hai
- مرے وجداں کی گرہیں کھولتا ہےمرا ہم زاد مجھ میں بولتا ہےmire vijdāñ kī girheñ kholtā haimirā ham zād mujh meñ boltā hai
- وہ شخص بول رہا تھا خدا کے لہجے میںمیں سن رہا تھا مگر میں کلیم وقت نہ تھاvo shaḳhs bol rahā thā ḳhudā ke lahje meñmaiñ sun rahā thā magar maiñ kalīm vaqt na thā
- وہ مجھ سے پیار کب کرتا ہے بس ملتا ملاتا ہےکرائے کے مکاں میں کب کوئی پودا لگاتا ہےvo mujh se pyār kab kartā hai bas miltā milātā haikarā.e ke makāñ meñ kab koī paudā lagātā hai
- یہ اور بات کہ تو دو قدم پہ بھول گیاہمیں تو حشر تلک تیرا انتظار رہاye aur bāt ke tū do qadam pe bhūl gayāhameñ to hashr talak terā intizār rahā