Poet
انور دہلوی
Poems
- آنکھیں دکھائیں غیر کو میری خطا کے ساتھمطلب ادا وہ کرتے ہیں اور کس ادا کے ساتھānkheñ dikhā.eñ ġhair ko merī ḳhatā ke sāthmatlab adā vo karte haiñ aur kis adā ke sāth
- اشک بیتاب و نگہ بے باک و چشم تر خرابچشم بینا سے اگر دیکھو تو گھر کا گھر خرابashk betāb-o-nigah be bāk-o-chashm-e-tar ḳharābchashm-e-bīnā se agar dekho to ghar kā ghar ḳharāb
- ان سے ہم لو لگائے بیٹھے ہیںآگ دل میں دبائے بیٹھے ہیںun se ham lo lagā.e baiṭhe haiñāg dil meñ dabā.e baiṭhe haiñ
- نظر آئے کیا مجھ سے فانی کی صورتکہ پنہاں ہوں درد نہانی کی صورتnazar ā.e kyā mujh se fānī kī sūratke pinhāñ hūñ dard-e-nihānī kī sūrat
- نہ میں سمجھا نہ آپ آئے کہیں سےپسینہ پوچھیے اپنی جبیں سےna maiñ samjhā na āp ā.e kahīñ sepasīna pūchhiye apnī jabīñ se
- ہو رہا ہے ٹکڑے ٹکڑے دل میرے غم خوار کاہے مرے زخم جگر میں کاٹ تیغ یار کاho rahā hai ṭukṛe ṭukṛe dil mere ġham ḳhvār kāhai mire zaḳhm-e-jigar meñ kāṭ teġh-e-yār kā
- ہے بھی اور پھر نظر نہیں آتیدھیان میں وہ کمر نہیں آتیhai bhī aur phir nazar nahīñ ātīdhyān meñ vo kamar nahīñ ātī
- یوسف حسن کا حسن آپ خریدار رہاپہلے بازار ازل مصر کا بازار رہاyūsuf-e-husn kā husn āp ḳharīdār rahāpahle bāzār-e-azal misr kā bāzār rahā
- اب اپنا حال ہم انہیں تحریر کر چکےخامہ سپرد کاتب تقدیر کر چکےab apnā hāl ham unheñ tahrīr kar chukeḳhāma supurd-e-kātib-e-taqdīr kar chuke
- دیکھا جو مرگ تو مرنا زیاں نہ تھافانی کے بدلے ملک بقا کچھ گراں نہ تھاdekhā jo marg to marnā ziyāñ na thāfānī ke badle mulk-e-baqā kuchh girāñ na thā
- محبت ہو تو برق جسم و جاں ہووہ آتش کیا کہ سینے میں نہاں ہوmohabbat ho to barq-e-jism-o-jāñ hovo ātish kyā ke sīne meñ nihāñ ho