گل و بلبل بہار میں دیکھا
Mir Taqi Mir (1723–1810)گل و بلبل بہار میں دیکھا
ایک تجھ کو ہزار میں دیکھا
جل گیا دل سفید ہیں آنکھیں
یہ تو کچھ انتظار میں دیکھا
جیسا مضطر تھا زندگی میں دل
ووہیں میں نے قرار میں دیکھا
آبلے کا بھی ہونا دامن گیر
تیرے کوچے کے خار میں دیکھا
تیرہ عالم ہوا یہ روز سیاہ
اپنے دل کے غبار میں دیکھا
ذبح کر میں کہا تھا مرتا ہوں
دم نہیں مجھ شکار میں دیکھا
جن بلاؤں کو میرؔ سنتے تھے
ان کو اس روزگار میں دیکھا
gul-o-bulbul bahar mein dekha
ek tujh ko hazar mein dekha
jal gaya dil safed hain ankhen
ye to kuchh intizar mein dekha
jaisa muztar tha zindagi mein dil
wohain main ne qarar mein dekha
able ka bhi hona daman gir
tere kuche ke khar mein dekha
tira alam hua ye roz-e-siyah
apne dil ke ghubar mein dekha
zabh kar main kaha tha marta hun
dam nahin mujh shikar mein dekha
jin balaon ko mir sunte the
un ko is rozgar mein dekha