ترک وفا گرچہ صداقت نہیں
Qaem Chandpuri (1722–1793)ترک وفا گرچہ صداقت نہیں
پر یہ ستم سہنے کی طاقت نہیں
ترک کر اپنا بھی کہ اس راہ میں
ہر کوئی شایان رفاقت نہیں
کوئی دوا مجھ سے کی کرتا ہے لیک
اب کے طبیبوں میں حذاقت نہیں
کسب ہنر کر نہ کہ اس وقت میں
اس سے بڑی اور حماقت نہیں
نام ہی قائمؔ کا گیا ہے نکل
ورنہ کچھ اتنی تو لیاقت نہیں
tark-e-wafa garche sadaqat nahin
par ye sitam sahne ki taqat nahin
tark kar apna bhi ke is rah mein
har koi shayan-e-rifaqat nahin
koi dawa mujh se ki karta hai lek
ab ke tabibon mein hazaqat nahin
kasb-e-hunar kar na ke is waqt mein
us se bari aur himaqat nahin
nam hi qaim ka gaya hai nikal
warna kuchh itni to liyaqat nahin