کوئی بھی ہم سفر نہیں ہوتا
فرحت کانپوریکوئی بھی ہم سفر نہیں ہوتا
درد کیوں رات بھر نہیں ہوتا
راہ دل خودبخود ہے مل جاتی
کوئی بھی راہبر نہیں ہوتا
آہ کا بھی نہ ذکر کر اے دل
آہ میں بھی اثر نہیں ہوتا
دل کو آسودگی بھی کیونکر ہو
غم سے شیر و شکر نہیں ہوتا
آہ اے بے خبر یہ بے خبری
دل ناداں خبر نہیں ہوتا
دل کی راہیں جدا ہیں دنیا سے
کوئی بھی راہبر نہیں ہوتا
اب تو محفل سے چل دیا فرحتؔ
اب کسی کا گزر نہیں ہوتا
koi bhi ham safar nahin hota
dard kyun rat bhar nahin hota
rah-e-dil khudbakhud hai mil jati
koi bhi rahbar nahin hota
ah ka bhi na zikr kar ai dil
ah mein bhi asar nahin hota
dil ko asudgi bhi kyunkar ho
gham se sher-o-shakar nahin hota
ah ai be khabar ye be khabari
dil-e-nadan khabar nahin hota
dil ki rahen juda hain duniya se
koi bhi rahbar nahin hota
ab to mahfil se chal diya farhat
ab kisi ka guzar nahin hota