کبھی قلق میں کبھی فکر و انتظار میں ہیں
رنج حیدرآبادیکبھی قلق میں کبھی فکر و انتظار میں ہیں
ہزار طرح کے صدمے فراق یار میں ہیں
وہ سن کے قصۂ غم ہنستے ہنستے لوٹ گیا
یہ شوخیاں بھی نئی شوخ گلعذار میں ہیں
میں کیا بیان کروں آگے تیرے اے زاہدؔ
عجیب کیفیتیں نشہ کے خمار میں ہیں
جہاں میں ہم نے اٹھائے تھے رنج کیا کیا کچھ
فنا کے بعد بڑے چین سے مزار میں ہیں
وہ ہم کو قتل کریں چاہیں ٹکڑے ٹکڑے کریں
ہم ان کے بس میں ہیں ہم ان کے اختیار میں ہیں
خدا کرے کہ نہ آئیں وہ فاتحہ پڑھنے
کہ تین دن ابھی بھاری مجھے مزار میں ہیں
نصیحت آپ تو کرتے ہیں حضرت ناصح
میں جانتا ہی نہیں آپ کس شمار میں ہیں
پیامبر یہ بھی کہنا ہماری جانب سے
تمہاری یاد میں ہیں اور انتظار میں ہیں
خدا کے فضل سے کٹتی ہے لطف سے اے رنجؔ
بڑے مزے میں ہیں ہم بھی بڑی بہار میں ہیں
kabhi qalaq mein kabhi fikr-o-intizar mein hain
hazar tarah ke sadme firaq-e-yar mein hain
wo sun ke qissa-e-gham hanste hanste laut gaya
ye shokhiyan bhi nai shokh gulizar mein hain
main kya bayan karun age tere ai zahid
ajib kaifiyaten nasha ke khumar mein hain
jahan mein ham ne uthae the ranj kya kiya kuchh
fana ke baad bare chain se mazar mein hain
wo ham ko qatl karen chahen tukre tukre karen
ham un ke bas mein hain ham un ke ikhtiyar mein hain
khuda kare ke na aen wo fatiha parhne
ke tin din abhi bhari mujhe mazar mein hain
nasihat ap to karte hain hazrat-e-naseh
main janta hi nahin ap kis shumar mein hain
payambar ye bhi kahna hamari janib se
tumhari yad mein hain aur intizar mein hain
khuda ke fazl se katti hai lutf se ai ranj
bare maze mein hain ham bhi bari bahar mein hain